Download App
91.02% SAFAR PYAAR KA / Chapter 142: Siya is in critical condition

Chapter 142: Siya is in critical condition

Laksh Bhagta hua Siya ke pas aakr, Siya ko Baho me le kar, Awaz de raha hai, "Siya... "Laksh dekhta hai ki Siya ki nose se blood aa raha hai, Laksh jayda der na karte huye, Siya ko Goadh me le kar Room se bahar le jata hai. aur main Gate ki aur jane lagta hai.

Vihaan Villa ke main gate me jese hi entry karta hai,Dada ji Vihaan ko dekh kar,

"Are Vihaan tum? " Dada ji

"Woh... Mom ne Mujhe rest karne kiye liye, Force kr ke bhej diya hai"Vihaan itna hi kheta hai,

Vihaan dekhta hai ki samne se Laksh Siya ko gaodh me le kar aa raha hai, Dada ji bethe huye khade ho jate hai.

"Kiya hua hai ise, Iski nose se bleeding kse ho rahi hai? "Dada ji dekhte hi preshan hoker

"Grandpa abhi time nahi hai, Siya ko jaldi hi hospital le jana hoga" Laksh Tezi se chalte huye.

"Main tumhare sath aata hun" Vihaan Laksh ke sath Jata hai.

In Hospital,

Doctors Siya ko Examine kar rahe hai, Laksh Siya ke ward room ke samne Chintit hoker khada hai, uske Chere pe Siya ke liye Tension Alag hi jhalak rahi hai, Vihaan thaka hone ki wajha se Pas rakhi hospital Chair pe beth jata hai.

Kuch der baad,

Doctor Siya ke ward Room se bahar aate hai, Laksh Doctor ke pas aakar, "How is she now? "

"Hmm... Miss. Siya Joshi...ki Halat Kafi nazuk hai, Keh sakte hai, nose bleeding aur achanak hosh kho dena unke Stress lene ki wajah se hua hai, Miss. Siya ji ki body bahut weak hai, humne old reports dekhi hai, woh phele bhi Coma me jaa chuki hai, aur ho sakta hai, Miss. Siya Phir se Coma me chali jaye" Doctor Laksh se.

"Oh... No... No... Ysa nahi ho sakta... " Laksh

"Please Sir, have passion, Miss. Siya Joshi ke liye pray kijiye, Woh jaldi hosh me aa jaye, And please Excuse Us" Doctor keh kr wahan se chala jata hai.

"Don't worry, Siya Thik hogi aur hosh me bhi aaygi, Main Siya ko wapis Australia bhejne ki Tayari karta hun" Vihaan Laksh ke pas aakar

"Bro.... Kiya woh sach me.... Coma...? " Laksh Ankho ko nam kar ke Vihaan se.

Vihaan Laksh ko Gale se laga kr, " Kuch nahi hoga Siya ko, Siya ko treatment ke liye Australia sift karna hoga, phir woh wahan ki treatment se puri tarha se thik ho jaygi, Mr.Joshi ko main baad me Informe kar dunga, Abhi filhal Siya ki Health ki bat hai. tum preshan mat ho... "

"Bro.... Main bhi Australia jaunga.... " Laksh Vihaan se.

"Hmm... Ok... " Vihaan.

"Bro... Aap jaye.... main yahan hun... Siya ke hosh me aate hi Main apko informe kar dunga" Laksh.

"Ok.... Thank you" Vihaan keh kr chala jata hai.

Hospital me Kanak ke Ward Room me pahuch kar, Kanak Vihaan ko Unhi kapdo me dekhti hai, jisme weh gaya tha, Vihaan ke chehre pe alag hi thakan dikh rahi hai.

"Vihaan ji.... Aap.... Aap gaye nahi...? " Kanak

"Main Gaya tha, wapis aa gaya, Bahut time ho gaya hai, Mom and Maa....Mene driver bulaya hai, Ap dono ghar jaiye... "Vihaan Kanak se keh kar, Mom aur Kanak ki Maa se Jane ke liye kehta hai.

"Beta... aapne aram kyun nahi kiya hai?, Aur Main Taxi se chali jaungi preshan hone ki zarurat nahi hai, "Kanak ki Maa.

"Ah... Mene driver bulaya hai, apko safly ghar chod dega Maa... "Vihaan kehta hai.

"Thik hai beta... Apna khayal rakhna... Kanak tum bhi... " Kanak ki Maa

"Tum dono khayal rakhna aur zaruat ho toh mujhe call karna... " Vihaan ki Mom

Vihaan ki Mom aur Kanak ki Mom sath Chali jati hai.

Vihaan thaka hua Kanak ke pas aata hai, Kanak Vihaan ko iss halat me dekh kar afsos karti hai.

"Vihaan ji.... Aap ghar gaye the apko Aram karna chaiye tha, aapne aram kyun, Nahi kiya?"Kanak

"Siya... Ki achanak Health kharab ho gai hai, Treatment ke liye urgently Australia bhej raha hun" Vihaan Thakan me dabi awaz se.

"Siya...? , ab kesi hai woh kahan hai? " Kanak tension le kar.

"Tum preshan mat ho Laksh uske pas hai, Woh thik hai" Vihaan

"Thank God...."Kanak Keh kr Vihaan ki aur dekhti hai, Vihaan bahut thaka hua Nindh me dikh raha hai ,Kanak Himmat kar ke Bed ke thoda side hoti hai, ysa karne se Bed ki ek side Khali ho jati hai.

"Vihaan ji, Idhr aakar thoda soh jaye" Kanak Vihaan ko bed ki khali side pe hath rakh kr ishara kar ke bolti hai.

"Kanak... Yeh hospital hai... Main yahan nahi soh sakta hun... tumhe takleef hogi "Vihaan Thaki hui awaz me.

"Vihaan ji chup chap se Yahan aaiye, yeh itni jagha hai ke aap aram se lait sakte hai, Aur mujhe kuch nahi hoga, Apki halat yesi hai, agr aap bimar padh gaye toh mujhe kon dekhega?, nahi mujhe kuch nahi sunna agar aap yahan nahi laite toh, main bhi yaha se utar jaungi" Kanak ek saans me bolti chali gai.

Vihaan Mushkrah kar, "Acha thik hai" Kanak ke pas khali side pe lait jata hai.

Vihaan ko laitte hi Gheri nind aa jati hai. Vihaan Soh raha hai, Kanak Vihaan ko dekh rahi hai,Kanak bed ki side rakhe Blanket ko le kar Vihaan ko uper tak odhah deti hai.

kuch der baad Kanak baby ko le kar, Room me Dhire dhire chal ke Walk kar rahi hai.

"Kaavi Baby, Shor mat karo, apke Dad soh rahe hai, Apki moma ki dekhbhal karte karte bahut thak gaye hai, isly aap rohna nahi" Kanak Baby se dhimi awaz me bat karte huye, Baby Kanak ko dekh kr Has raha hai. Kanak bhi Baby ki aur dekh smile kar ke uske head pe kiss kar leti hai.

Thodi der baad,

Nurse achanak se, Kanak ke ward Room me aa jati hai,

"Madam apki Medicine lene ka time ho gaya hai"

Kanak ko chair pe betha dekh, Nurse bed ki aur dekhti hai,

"Madam patient toh aap hai, Yeh yahan Kyun laita hai ?, Uthao ise yahan se Warna doctor gussa karege... "Nurse keh kr bed ke pas aati hai,

"Aaii.... Mere husband ko sohne do.... unhe utha mat dena..." Kanak Uth kar Nurse se.

"Hn...? par Madam...Yeh... patient bed hai... "Nurse.

"Han...hai... Lekin Mene hi apne Husband...ko yahan laitne ke liye kaha hai, Mere husband 3 days se soye nahi hai, agar woh Bimar padh gaye toh...?, Iski zimmedar aap hoge... toh behtar yahi hoga....unhe rest karne de" Kanak Nurse se.

"Ah.... Ok.... Madam.....Aap apni medicines le lijiye.... " Nurse Medicine Kanak ko de kar Chali jati hai.

Kanak Vihaan ke pas aakar bed pe beth jati hai, Vihaan sohte huye Kanak ke upar apna hath rakh leta hai, Kanak Mushkurah kar Vihaan ke Baalo me apna hath pher rahi hai.


next chapter
Load failed, please RETRY

Weekly Power Status

Rank -- Power Ranking
Stone -- Power stone

Batch unlock chapters

Table of Contents

Display Options

Background

Font

Size

Chapter comments

Write a review Reading Status: C142
Fail to post. Please try again
  • Writing Quality
  • Stability of Updates
  • Story Development
  • Character Design
  • World Background

The total score 0.0

Review posted successfully! Read more reviews
Vote with Power Stone
Rank NO.-- Power Ranking
Stone -- Power Stone
Report inappropriate content
error Tip

Report abuse

Paragraph comments

Login