Download App
82.35% darkness of the hoodie guy / Chapter 14: adventure and robbery

Chapter 14: adventure and robbery

sabhi log subah jaldi uth jaate hain or sabhi dare hue hote hain, nisha pawan ke pass jaati hain or usse puchti hain ki tumne mujhe leader kyu banaya sabhi log to mere khilaaf hain,pawan kehta hain ki mujhe tum me se kisi ki parwaah nahi hain main bas apni jaan bachana chahta hu,uske liye mujhe jyada logo ki jarurat thi isliye maine sabhi logo ko sath jane ko kaha.

kanika mam ye sab baate sun rahi hoti hain pawan use samne aane ko kehta hain or nisha ko kehta hain ki tumhe suicide karne ka iss baar acha mouka mil raha hain, waise to tum darpok ho par leader iss liye banogi kyunki main logo se jyada baat nahi karna chahta hu

thik hain

ab jao or sabhi logo ko bolo ki hum sab safely iss jungle se baher nikal jayenge,

kanika mam or nisha sabhi students ke pass jaate hain or ek motivatonal speech dete hain

sabhi students ab teyaar ho jaate hain, sabhi iss baat se anjaan the ki pawan ko chout lagi hui hain, sabhi log jungle me jaane lagte hain

jungle kaafi ghana hota hain, sabhi students aisi jagah pahli baar aaye the students ke sath hi teachers bhi thode dare hue the, jaise jaise wo log jungle me ja rahe the unhe nayi nayi chizo ko dekhne ka mouka mil raha tha par aane wale khatro se anjaan unka ye safar bahut romanchak hone wala tha

thodi durr aage chalne par jayesh jo ki sabse aage chal raha tha use ek saanp nazar aata hain wo sabhi logo ko usse durr rahne ko kehta hain,ye saanp size me bada tha sabhi log usse durr hokar chal rahe the par achanak wo apni nend se jaag jata hain or students ki taraf bhagata hain bus driver use ek lakdi ki madad se bhaga deta hain,

kuch durr aage chalne par unhe ek river mil jaati hain, sabhi log aaram karne ke liye wahi ruk jate hain, kuch der aaram karne ke baad sham ho jati to sabhi wahi rukne ka plan bnate hain tent lagaane ke baad kuch students tent me jaate hain jo ki ram,nandni,jiya,gourav,shina or gita hote hain

jo nisha ki leadership pasand nahi karte the

isliye wo use leader ki post se hatane ke liye ek plan banate hain ki use chori ka ilzaam laga denge jabki chori wo log karenge or use akele jungle me bhej denge

jiya or gita ko khana banane wali team me bhej dete hain or shina ko nisha par nazar rakhne bhej diya jata hain,gourav or ram ko chori karna hota hain wo khana khane ke waqt chori ka plan banate hain kyunki raat me kich log chowkidaari karne wale hote hain

unhone khane ke samaan ki chori karne ka plan bnaya or use nisha ke bag me rakhne ka plan bna liya , jab sabhi log khana khane baithte hain to gourav or ram jaladi khana kha lete hain or apne plan ko anajam dene khane ke tant ki or jaate hain

chup chap wo khane ka samaan chura lete hain unhe koi bhi nahi dekhta hain wo sara samaan aaram se nisha ke bag me daal dete hain

jab sab khana kha lete hai to ye pancho log milte hain or ek dusre ko batate hain ki kisi ko unke baare me pata nahi chala hain ab bas unhe kal subah chori ka ilzaam nisha par lagana hain

jab sabhi log sone jate hain to nisha bhi apne tent me jati hain or so jati hain ,jab subsh hoti hain to sab logo ko ram bulata hain or khane ke kam hone ka batata hain sabhi log ek dusre ke taraf dekhte hain or puchte hain ki kisne khana churaya gourav teachers ko bulata hain or unhe chori ke baare me batata hain

teachers sabhi ke tent ki talashi leti hain or nisha ke bag me samaan pati hain or usse isle baare me puchti hain nisha mana kar deti hain

pawan ye sab dekhte rahta hain,pawan ke pass khadi divya use batati hain ki wo nisha ke sath hi thi usne chori nahi ki,pawan kehta hain ki main janta hu par main uski tarafdaari krunga to baki log mujhe bhi uski tarah hi samjhenge

teachers use pawan ke pass lati hain or kehti hain ki isne chori ki ise group se nikal dete hain pawan kehta hain ki pahle nisha ke khilaaf koi acha proof to do, ho sakta hain kisi ne jaanbooj kar nisha ke bag me khana rakha ho

teachers nisha ko 2din ka time deti hain use khudko bachane ka

THE END


next chapter
Load failed, please RETRY

Weekly Power Status

Rank -- Power Ranking
Stone -- Power stone

Batch unlock chapters

Table of Contents

Display Options

Background

Font

Size

Chapter comments

Write a review Reading Status: C14
Fail to post. Please try again
  • Writing Quality
  • Stability of Updates
  • Story Development
  • Character Design
  • World Background

The total score 0.0

Review posted successfully! Read more reviews
Vote with Power Stone
Rank NO.-- Power Ranking
Stone -- Power Stone
Report inappropriate content
error Tip

Report abuse

Paragraph comments

Login