Sooni thi wo rahe jinpe ,Hum the akele mein chal rhe
Na jane wo aayi khi se,Aake duniya ban gye
Pehle mile the hum, phir the kahi kho gye
Ab jab mile hein hum, apna sa kuch ho gye
Na kabhi chaha use, na kabhi tha manga use
Bas dua kiya koi waisa hi mil jay, aur mil gyi wo mujhe
Socha tha is baar wo humesha k liye mil gyi
Gussa aata hein apni gusse pr jiske liye wo phir se khi kho gyi
Galti hui bhi kya meri jo wo chod k chli gyi
Do galat shabd kya muh se nikli sab pyaar ki baat bhul gyi.
Kitni pyaari thi wo, roothne pr kitne acche se manati thi
Is bar roothi thi wo, itna manaya!! phir v khi kho gyi
Kitaab likh sakte hein hum uspr, chahe wo prhe ya nehi
Apne pyaar ka izhaar kr denge, chahe wo smjhe ya nhi
Buddhe ho jaynge, phir bhi likh to lenge
Itna waqt zaya krne se accha kabhi use hi baithakar suna denge
Log kehte hein khuda sabki shikayaat sunta hein,Isiliye Shikayaat krne chal nikla.
Socha shikayat karu uski khuda se,Pr khuda bhi uska ashiq nikla
Suna meri ek bhi nhi, ulta meri galti smjha diya
Bola wo laut aaygi tumhare pass, agr tumne usse kabhi pyaar kiya!!
Baitha hoon us din ki intezaar mein
Kabhi to phir se milegi wo mujhe
Insaan khote hein , khota kya pyaar hein?
Pyaar hi firse le aaygi use!!