Hum sab ne pahunch kar apne apne tents lgae, ladko ke ek taraf aur ladkiyoun ke ek taraf. teachers ne kaha thoda aaram karlo fir sab raat ko baith kar sath mein khana khaenge. mujhe bahut zoro ki nind aarahi thi is liye main so gayi.
'Main kisi choti class room mein baith kar padhai kar rahi thi yu jaise agle din hi test ho. main bilkul piche akele class mein thi baki sare log chale gaye the kyunki college chhut chuki thi, itne mein waha sidharth aaya. chalte chalte wo meri taraf aaya aur ruk gaya kuch der tak mujhe massom si nazroun se dekha, maine usse pucha "kya hua tumko?". "meri book gayab ho gayi hai, wahi kahi mil nahi rahi toh use dhundne aaya hu, aapko kahi dikhi thi kya" usne narmi se pucha. "nahi maine kahi dekhi toh nahi, dekho yahi kahi hogi, main bhi dhundne mein help kardeti hu" usne khush hokar kaha "Thank you". mujhe book mil gayi panne kholkar dekhe toh usme sidharth ka naam likha hua tha. maine use book wapis kardi. wo book dekh kar itna khush hua ke usne zor se mujhe hug karliya yu jaise koi bichda insaan bahut dino baad miljae' itne mein meri aankh khuli aur main uth gayi. "ooh! wo sapna tha"