下載應用程式
36.84% The black moon / Chapter 7: chapter: 6 shocking

章節 7: chapter: 6 shocking

yeh sunkar Nayra ko boht hairaani hoti hai...

Nayra:(apne chehre ke haav-bhaav ko theek karte huye) han magar kaise???

Abeer: (Haste huye) God gifted hoon.. bachpan se hi aisa hoon.. dekh ke pehchaan leta hoon...

Nayra : (thoda ajeeb sa chehra banate huye)

han chalo fir ab kahani sunao...

Abeer: han toh vampires toh poori duniya mein hain.. par insaan unhein jaawar samjhate hain.. is liye khatam karna chahte hain.. aur hamesha yhi karte hain.. hamesha ki trah vervain dete hain aur unko khatam kar dete hain..

Insaano ke bina kyi vampire ke vansh boht strong hote hain... toh vo bhi kabhi kabhi ek doosre ko maar dete hain.. apna power dikhane ke liye ya fir nayi jagah ke liye..

27 saal pehle... mystic ke dono jungle ek the .. bas vo ladayi ke baad do hisson mein divide ho gya.

Abeer, Nayra ko beech mein se hi swaal poochta hai....

Toh ab tumhare side raja kaun hai???

Nayra: (thoda hairaan hote huye)

Nhi hamare side koi raja nhi hai... aur jis jgah mein hum rehte hain uss side koi vampire nhi hain...

Abeer: (Sochte huye) ajeeb hai???

Tum log wahan akele rehte ho???

Nayra : nhi aur bhi hain par uss jungle ki jis jagah par hamara ghar hai.. wahan par koi aur doosra vampire nhi hai...

Abeer: kyu??

Nayra: shyed unhein vo jagah achi na lagti ho....

Abeer: tumne kabhi poocha nhi??

Nayra: vaise main yahan kahani sunne ke liye baithi hoon...

Tumhare sawaalon la jawaab dene ke liye nhi...

Aur tum yeh kitne ajeeb sawaal pooch rhe ho..

Abeer: han sorry!! Vo pehli baar kisi vampire se itni baatien kar rha hoon toh jaan-ne ki icha aur badh rahi hai...

Mann kar rha hai.. tumse sara kuch poochoon!!! Vampires ke bare mein..

Nayra thoda ajeeb sa mehsoos kar rhi thi jab se usse yeh pta chala tha ke yeh vampires ko pehchaan sakta hai...

Ab toh Nayra ki bhi dilchaspi usmein badh rhi thi..

Ke aise kaise ho sakta hai... koi insaan ????

Abeer apni kahani fir se shuru karta hai..

Toh jb yeh ek hi Jungle tha toh itne sare vampires mein se ek 'highbrid' tha.. jaise jaise vo bda huya. Aur jada powerful ho rha tha.. fir vo iss Jungle ka raja ban gya... kyon ke vo highbrid tha.. sabse allg, sabse jada powerful...

Jungle me sabhi vampires unko raja maante the, aur unki sari baatien bhi.. mystic ke jo vampires insaano ke beech bhi rehte the.. vo bhi unhi ko apna raja maante the aur saal mein ek din hota tha jab sare vampires vhi par milte the.. aur jashan hota tha...

Nayra ko ab aur bhi jada shakk ho rha tha.. ke koi vampires ki sari history itne ache se kaise bta sakta hai... vo khud ek vampire thi.. par use yeh sab pta nhi tha... aur Abeer ko sab pta tha...

Nayra ko yahan gadbad lagti hai... aur vo sochti hai ke uske bare mein pta karna hoga... ke yeh hai kaun...

Boht ajeeb kisam ka insaan lag rha tha....

Sabse badi baat.. Nayra ko uske khoon ki Mehak bhi nhi aa rhi thi.. mtlb usse Abeer ke paas baithne par bhi mann nhi ho rha tha.. khoon peene ka... Abeer sach mein ajeeb tha...

Nayra itna kuch Sochte huye... aakhir usse pooch hi leti hai..

Tumhe yeh sab itni baariki se kaise pta???

Abeer: bataya toh tha... mere papa ne mujhe yeh sab bataya tha...

Nayra : (gusse mein) mujhse jhooth mat bolo!!! Tumhare baap ko kuch bhi pta ho sakta hai.. par vampires ke ek din vale function ke bare mein nhi...

Toh batao???

Abeer: (thoda ajeeb sa mehsoos karta hai) arre nhi sach mein, mere papa ne yeh sab bataya tha...

Nayra ko ab gussa aa jata hai aur... uski aankhien laal ho jati hain..

Vo vampire ka roop le leti hai...

Jisse dekh kar abeer darr jata hai...

Nayra uska galaa pakad leti hai...

Jaise hi vo usse hurt karne lagti hai.. Abeer ko bhi gussa aa jata hai aur vo boht tezi se Nayra ko peeche ki taraf push karta hai ...

Nayra diwaar ke sath lag jati hai...

Aur jaise hi vo Abeer ki taraf dekhti hai... vo bhi ek vampire tha...

Abeer ka asli roop dekh kar.. Nayra normal ho jati hai...

Aur Abeer bhi...

Abeer ko jab yeh realize hota hai.. ke

Nayra ne usse aise dekh liya hai... toh vo vahan se itni speed se gayab ho jata hai ke Nayra ko usse dubara dekhne ka mauka bhi nhi milta...

Ab Nayra aur bhi jada hairaan ho jati hai...

Ke agar yeh vampire tha.. toh chupa kyu rha tha?

aur main isse pehchaan kyu nhi saki?

Aur isse itna jada kaise pta hai...

Abhi Nayra ke pichle sawaal suljhe nhi the... ke aur swaal khade ho gye the!!!

Nayra bhi bahar Jakar dekhti hai.. par ab toh boht der ho gyi thi... abeer vahan nhi tha...

Toh Nayra ko yaad aata hai ke vo Shyra vale college mein hi padhta hai...

Jb vo college ke paas jaati hai toh college ke sare student jaa chuke the.. ab shaam ho gyi thi.. fir bhi Nayra andar chali jati hai...

Aur vo college ke office ke paas pauhnchti hai... toh wahan par bhi koi nhi tha..

Itne mein wahan ek security guard aa jata hai.. aur vo Nayra se kehta hai...

'Kal aana... ab toh sab band ho chuka hai...'

Par Nayra usse compell kar deti hai.. aur vo office ka darwaza khol deta hai.. usse sare students ki files bhi nikaal kar deta hai..

Vo unmein se Abeer ki file ko dhoondhne lag jati hai...

Kafi samay baad usse mil jati hai aur vo usse poora padhti hai... fir vahan se chali jati hai...

Ab raat ho gyi thi...

Nayra, file par likhe address par pauhnch jati hai..

Vo ek chota sa ghar tha.. jo shehar ke bilkul beech mein tha...

Jaise hi uss ghar ka darwaza khulta hai..

Nayra ko khali hath hi vapis lautna padta hai... kyon ke wahan par Abeer ko koi nhi jaanta tha... mtlb usne file par galat address likha tha...

Ab toh Nayra ki dilchaspi Abeer mein aur bhi badh rhi thi....

Ab usse kal ka intezaar karna tha...

Vo college mein jaakar usse dhoondhna chahti thi...

Nayra ab ghar aa jati hai...


Load failed, please RETRY

每周推薦票狀態

Rank -- 推薦票 榜單
Stone -- 推薦票

批量訂閱

目錄

顯示選項

背景

EoMt的

大小

章評

寫檢討 閱讀狀態: C7
無法發佈。請再試一次
  • 寫作品質
  • 更新的穩定性
  • 故事發展
  • 人物形象設計
  • 世界背景

總分 0.0

評論發佈成功! 閱讀更多評論
用推薦票投票
Rank NO.-- 推薦票榜
Stone -- 推薦票
舉報不當內容
錯誤提示

舉報暴力內容

段落註釋

登錄