Puri tarah se ab raat ho gayi thi. meri bechaini bahut hi badhti ja rahi thi. achanak mujhe kuch ajib si aawaz sunai di. shayad kisi janwar ki thi ye sun kar mein aur ghabra gayi aud wahi baith kar rone lagi.
Tabhi mujhe kahi se roshni nazar aai. wo roshni dekh kar mein bahut khush ho gayi. dheere dheere wo roshni mere paas aagyi.
Aur wo Sidharth tha jo torch lekar aaya tha. use dekh kar mujhe bahut khushi hui. meri jaan mein jaan aai. main use dekh kar itna khush ho gayi ke maine khushi se use gale laga liya aur khushi se rone lagi aur usse maine kaha..
" tumahara bahut bahut shukriya jo tum aagaye, pata hai main kitna dar gayi thi..."
usne mujhe chup karate hue pucha..
"aap yaha par pahunchi kaise. aur akele yaha par kyun aai aap?"
"pholoun aud nazaroun ki tasveer lete lete main yaha kab aagayi mujhe pata hi nahi chala, aur jab maine jana chaha tab main rasta bhul gayi thi, aur toh aur mere phone mein network bhi chala gaya hai."
"oh! achha, chalo koi baat nahi mujhe yaad hai raasta mere saath chalo aap." usne hastehue kaha.
"lekin aap yaha kaise?"
"wo...woh main toh aise hi hawa khane nikla tha, kitna achha mausam hai na!"
"haan wo toh hai. inhi naazaroun ki wajah se toh aaj mein kho hi gayi thi."
Hum dono zoro se hasne lage...:-|)