Baixar aplicativo
92.3% SAFAR PYAAR KA / Chapter 144: Unfair Decision

Capítulo 144: Unfair Decision

Ashi Subha se Aman ko call kar rahi hai, Aman Ashi ki call pick nahi kar rha hai, Ashi ready hoker hall se main gate ki aur jaane hi lagi hai ki, Samne se Mom Aa rahi hai Ashi Mom ko dekh kar ruk jati hai, Mom Ashi ke pas aakar.

"Ashi....Kaha jaa rahi ho? " Mom

Ashi Mom ki bat ko ansuna kar ke bahar chali jati hai, Mom khamosh Ashi ko mayushi se dekhti rhe jati hai, Dada ji yeh sab dekh rahe hai. Dada ji Mom ke pas aakar.

"Tum Ashi ki Fikar mat karo... kuch din me Woh Thik ho jaygi... "Dada Ji

"Jii... Papa Jii... " Mom Mayushi se halki awaz me.

"Acha mere pas... Laksh ki call aai thi... woh Australia chala gaya hai, Kuch urgent Kaam ki wajha se use Subha subha jana padha... " Dada ji.

"Acha.... Laksh ne mujhe kuch nhi bataya " Mom

"Fikar mat karo bahu... bacche ab badhe ho gaye hai... aur Qabil bhi... woh sab apna dhayan khudh rakh sakte hai. " Dada ji

"hmmm... " Mom

Ashi Aman ke office pahuchti hai, Aman ke Pas jaa kar.

"tum meri call pick kyun nahi kar rahe ho? "Ashi gusse se.

"A... Ashi...?, tum kab aai?" Aman

"Abhi... well phele mere sawal ka jawab do... Call pick kyun nahi kar rahe ho? "Ashi Aman ke samne Table pe dono hath rakh ke dekhte huye.

"Ashi.... woh Main...."Aman nazare churate huye.

"Kaho... "Ashi thodi tez awaz me.

"Ashi... Let's Break up"Aman nazre jhuka ke.

Ashi sunate hi shocked hoker Aman ko dekh rahi hai.

"Achanak se.... Kyun...? " Ashi Mayush atakti hui awaz me bolti hai,

"Ashi... Hum ek dusre ke liye... Nahi bane hai... " Aman

Ashi sun kar table se piche hat ke, nazre jhuka ke rohne lagi hai, Ashi ki Ankhe nam hai.

Aman Yeh dekh kar apni chair se uth kar Ashi ke pas jaldi se aata hai,

"Tum Roh... rahi ho? " Aman

"Kitni baar.... Kitni baar mujhe...yeh prove karna hoga...?,"Ashi Aman ko apni Nam ankho se dekh rahi hai,Aman khamosh hoker piche hat jata hai.

"Kiya yeh sab... Tum.....Meri Mom ki wajha se kar rahe ho? "Ashi

"Nahi.... tumhari Mom ne Meri Maa se mil kar,Hum dono ko ek karne ki bat ki thi... "Aman Dusri aur dekhte huye.

"Mom ne....!? "Ashi Man me bolti hai,

"Aman kiya tumhe Maine iss relationship me aane ke liye force kiya hai?, Agar yesa hai... Main chali jaungi... "Ashi kehte huye rohne lagi hai, "Aur yahan Kabhi wapis nahi aaungi... Good bye..... " Ashi keh kr wahan se jaane lagti hai.

Aman Ashi ko jaane deta hai, Aur use jaate huye dekhta hai.

"Ashi Mujhe maaf kar do... " Aman dhire se bolta hai.

Ashi office se bahar aakar, Road pe chalte huye.

"Bahut bure ho tum.... Aman bahut bure ho... yesa kon karta hai,ek pal me relationship aur ek pal me breakup....!!!, Kyun.... kyun Maine tumhi se pyar kiya... ?"

Ashi rothi hui Villa pahuchati hai. Apne room me bed pe roh rahi hai. Mom Ashi ke Room ke pas se guzar rahi hai, jaate huye Mom Ashi ko rohta dekh leti hai, Mom Ashi ke pas aakar, uske baalo pe hath pherti hai.

"Kiya hua Ashi? " Mom

Ashi Mom ki awaz sun kar zor se gale lag jati hai.

"Mom Mujhe kal hi yahan se jaana hai... Mujhe Wapis England jana hai... Mujhe ab aur yahan nahi rehna" Ashi rohte huye.

"Kiya hua Ashi...?, tumhari Aman se fight hui hai? " Mom

Ashi Kuch nahi kehti, Mom Ashi ka ishara samjh jati hai,

"Relationship me yesa hona aam baat hai, Don't worry... Aman khudh tumhare piche piche aayga... " Mom Ashi ke face pe hath rakh kar.

Ashi chup ho jati hai.

"Acha suno... Aj Kanak...hospital se discharge ho rahi hai, Kya tum meri help karogi... Welcome party ke liye" Mom

Study Room me bethe huye Dada ji, Aman ko call karte hai, Aman call pick kar leta hai,

"Jiii.. Dada ji... kese hai aap? " Aman

"Hum bahut Bhadiya hai.... Acha suno... Aaj Kanak hospital se discharge ho rahi hai, Humari... Grand daughter pehli bar apne ghar aa rahi hai, Isi khushi me Humne Welcome party rakhi hai.... Tum bhi aana aur Apne parent ko bhi sath Lana....Isi bahane hum Ashi aur tumhare riste ki baat karege"Dada ji khushi se.

Aman ke liye yeh khushi ki bat thi, Par Aman udas hai,

"Jiii... Dada jiii... " Aman keh kr Call cut kr deta hai.

Dada ji Mobile ko dekh kar "Iski awaz me itni udasi kyun hai? "

In Evening,

Villa me Ek car aakar rukati hai, Servants Car ka gate open karte hai, Vihaan car se utarta hai, phir Kanak Baby ko gaodh me liye huye utarti Hai, Vihaan Kanak ko pakad kar,

"Aram se Kanak... "

"Main Ghar aa gai" Kanak Mushkurahate huye Ghar ko dekh kar.

Dono sath kadam aage badha rahe hai, jese hi andar aate hai, Dono ke upar Gulab ke phoolo ki barish hone lagi hai, aur sab sath me khade hoker un dono ka welcome kar rahe hai. Ashi, Aman, Dada ji, Mom, Kanak ke Maa Papa bhi welcome party me aaye huye hai.

"Welcome Home.... " Sab zor se chilate hai.

Vihaan Kanak sab ko sath dekh, aur iss welcome party ko dekh kar bahut khush hote hai. Sab Mil kar Kanak Vihaan se milne aa rahe hai. Kaavi ko ek ek kar ke sab goadh me le rahe hai. Aur iss party ko enjoy kar rahe hai.

sab couch pe beth kar bate kar rahe hai, Kanak ke parents Kanak se bat kar rahe hai aur kuch hichkicha rahe hai, Dada jii ke pas Ashi bethi hai, Aman Ashi ko nazre chura kar dekh raha hai, Par Ashi Aman ki aur nahi dekh rahi hai, Dada ji Yeh nazara bhaap lete hai.

"Aman Beta... Yahan Aao... humare pas betho... " Dada jii

"Jiii...." Aman uth kar Dada ji ke pas bethne jata hai,

Dada ji Ashi wali side se dur hat kar beth jate hai, "Yahan betho... " Dada jii

Aman Ashi aur dada jii ke bich beth jata hai

Kanak ke parents hairani se dekhne lagte hai, Vihaan Dada jii ki chaal samjh kar smile karta hai.


Load failed, please RETRY

Status de energia semanal

Rank -- Ranking de Poder
Stone -- Pedra de Poder

Capítulos de desbloqueio em lote

Índice

Opções de exibição

Fundo

Fonte

Tamanho

Comentários do capítulo

Escreva uma avaliação Status de leitura: C144
Falha ao postar. Tente novamente
  • Qualidade de Escrita
  • Estabilidade das atualizações
  • Desenvolvimento de Histórias
  • Design de Personagens
  • Antecedentes do mundo

O escore total 0.0

Resenha postada com sucesso! Leia mais resenhas
Vote com Power Stone
Rank NO.-- Ranking de Potência
Stone -- Pedra de Poder
Denunciar conteúdo impróprio
Dica de erro

Denunciar abuso

Comentários do parágrafo

Login