Baixar aplicativo
78.84% SAFAR PYAAR KA / Chapter 123: Pieces of Heart

Capítulo 123: Pieces of Heart

"V...Vihaan ji, N...nahi... A...Aap galat samajh rahe hai" Kanak Nahi me ser hilate huye Hichkicha kar Vihaan ki aur dekhti hui kehti hai.

Vihaan Kanak ka hath chod ke bed ke pas rakhi Table me se envelope nikal kar Usme se Photos Nikal kar Kanak ke Muh pe Marta hai.

"Kiya yeh pictures Jhut bol rahi hai.... " Vihaan Gusse se Kanak ko ghurate huye.

Kanak Un photos ko Hath me le kar dekhti hai, Dekhte hi hairan ho jati hai, photos me Kanak aur Yash sath me dikh rahe hai.

"kiya Yeh photos Jhut hai... ?,Tumhari aur Yash ki Mulakate... " Vihaan Gusse se keh kr Laptop uthata hai usme save ki hui Cafe ki video clip Kanak ko open kar ke dikhata hai. "par yeh toh sach hogi... "

Kanak khud ko Uss Clip me dekh ke aur Hairan ho jati hai. Kanak Vihaan ki taraf apni Nam aakhon se dekhti hui,

"Aap Mujh pe... nazar rakhwa rahe the...A.... aap mujh pe Zara bhi yakeen nahi karte.... " Kanak atak atak kar Vihaan ko dekhte huye bolti hai.

Vihaan sun ke kuch der khamoshi se Kanak ko thodi der dekhta hai,

"Kanak... agar main chal pata toh iss room se ab tak Nikal kar jaa chuka hota" Vihaan dusri taraf dekhte huye.

Kanak bina kuch kahe Room se bahar chali jati hai. Piano Hall me Aakar zor zor se rohne lagti hai. "Kyun..... Vihaan ji... Kyun apne mujh pe yakeen nahi kiya...?, "

Kanak Rohti hui piano Hall me rakhe couch pe beth kar,

"Main Vihaan ji ko bata bhi nahi sakti... Ki Yash mujhse kyun mila tha... Agar Yash ko zara bhi khabar hui toh Vihaan ji ki jaan ko khatra ho sakta hai.... Jab tak mere pas koi saboot nahi hoga, Main kuch nahi kar sakti."

Vihaan apne room me Sochte huye.

"Kanak...Main tumhe apni ghuthan bhari zindagi se humesha ke liye Azaad kar dunga... I hope tum jaha bhi raho, khush raho..."

Isi tarha ek aur Udasi bhari raat Guzar jati hai, Subha Kanak ki achank vomiting aane se ankh khul jati hai Kanak Hall me washroom ki aur bhagti hai. Aur vomiting karne lagti hai.

Fresh-up hoker Kanak Apne pait pe hath rakhti hai, "Don't worry Baby, Mom apka khyal rakhegi, Dad abhi naraz hai... jaldi hi sab thik ho jayga" Kanak Pait pe hath rakhe huye apne man me.

Few moments later,

Vihaan Wheelchair pe hall me aata hai, Kanak jaldi se Vihaan ke liye nasta laati hai, "Vihaan ji apka nasta... "

Vihaan Bina sune apni wheelchair se main gate se bahar jane lagta hai, Kanak mayushi se Vihaan ko jata dekhti hai,

Kanak Ko achanak Vomit shuru hoti hai, Vihaan Awaz sun ke Kanak ki aur murd ke dekhta hai, Kanak apne Muh pe Hath rakh ke Bhagti hui washroom ki aur jaati hai. Vihaan jate huye ruk jata hai, Mrs. Tina Kanak ke piche bhag kar jati hai.

"Kiya Kanak ki health thik nahi hai... ?" Vihaan Ruk kar Kanak ka aane ka intezar kar raha hai.

Kanak Voimt karne ke baad Gheri saanse le kar Face pe pani marti hai.

"Madam, Aap thik hai? "Mrs. Tina Kanak ko towel deti hai,

"Ji... Tina Di....Main thik hun bas, aaj thodi weakness ho rahi hai" Kanak towel le kar Face Saaf karti hui Hall me aati hai ki, Vihaan samne hi Wheelchair pe Kanak ka wait kar raha hai.

"Tumhari health ko achaank....?kiya hua hai tumhe? " Vihaan atakte huye bolta hai.

Mrs. Tina Jawab deti hai, "Sir, Madam.. Pre....!!" Mrs. Tina ke kehne se phele hi, Kanak Mrs. Tina ka Hath pakad leti hai. Mrs. Tina Kanak ko dekhti hai, Kanak Nahi me ser hila kar ishara karti hai.

"Kaho.... Chup kyun ho gai? "Vihaan Mrs. Tina ko dekhte huye.

"Vihaan ji.. woh mene Kal raat... dinner me ulta sidha kha liya tha... isly... "Kanak Bat palate huye.

"Ok... " Vihaan Keh kr Office ke liye chala jata hai.

"Madam... Aap Vihaan sir ko bta kyun nahi rahi hai" Mrs.Tina.

"Main batana chahati hun..." Kanak itna keh Kar chup ho jati hai, aur Man me sochti hai "par kese batau... Vihaan ji... meri ek nahi sunna chahate... Kiya pata Vihaan ji mujh pe yakeen bhi nahi kare, kiya yeh sab jaan kr Vihaan ji khush hoge...? "

In Late Evening,

Kanak Dinner ki tyari kr ke room me aati hai, Vihaan ke rakhe bag pack me se Kapde Nikal kar Kanak Cubboard me rakhne lagti hai ki, Kanak ka Mobile Ring kar raha hai, Kanak Mobile ki aur jaa ke dekh kar Mobile table se utha kar Dekhti hai, Ki Siya ki call hai.

"Hello... Siya... " Kanak Call pick kar ke.

"H.... Hello Kanak.... Kanak... Mujhe Yash ke khilaf majboot saboot mile hai..." Siya ghabrai hui awaz me Call pe.

"Siya... Are you Okay... Kaha ho tum... mujhe batao, main wahan aa rahi hun" Kanak preshan hoker.

"Na... Nahi Kanak... tum yahan mat aao... Yaad karo mene tumhe email aur password diya tha... mene apne mobile ka sara back up usme diya hai... tum use check karo... usme sare Yash ke againts evidences hai, aur Meri fiqar mat karna... bye" Siya ghabarate huye Call cut kar deti hai.

"Hello... Hello.... Siya... Siya...? "Kanak call pe,

Siya Andhere Raste se darti hui aage badhti jati hai, Siya ko mahsoos hota hai koi uska picha kar raha hai, Siya ki Saanse Tez aur body puri dar se paseene me ho jati hai. Siya tez tez chalne lagti hai, piche se kadamo ki awaz aur tez ho jati hai.

achanak Siya Ke piche se zordar vaar hota hai, Siya Ke sidha piche ser pe chot lagti hai.

"Aaaha..... " Siya zor se chikh maar kar niche gir jati hai. aur behosh ho jati hai.

Siya ke Piche black Cap and Black jacket me ek inshan hath me lakdi ki rod liye Khada mushkurah raha hai.


PENSAMENTOS DOS CRIADORES
IU207 IU207

Hello Guys

Please Give me Your Suggestions in comment box about my story.

Have some idea about my story? Comment it and let me know.

Load failed, please RETRY

Status de energia semanal

Rank -- Ranking de Poder
Stone -- Pedra de Poder

Capítulos de desbloqueio em lote

Índice

Opções de exibição

Fundo

Fonte

Tamanho

Comentários do capítulo

Escreva uma avaliação Status de leitura: C123
Falha ao postar. Tente novamente
  • Qualidade de Escrita
  • Estabilidade das atualizações
  • Desenvolvimento de Histórias
  • Design de Personagens
  • Antecedentes do mundo

O escore total 0.0

Resenha postada com sucesso! Leia mais resenhas
Vote com Power Stone
Rank NO.-- Ranking de Potência
Stone -- Pedra de Poder
Denunciar conteúdo impróprio
Dica de erro

Denunciar abuso

Comentários do parágrafo

Login