アプリをダウンロード
91.66% SAFAR PYAAR KA / Chapter 143: Forgiveness

章 143: Forgiveness

Aman Ashi ko Drop kar ke, Apne ghar Aata hai, Jese hi ghar me enter karta hai Maa Papa couch pe beth kar Aman ka intezar kar rahe hai.

Few Moments later,

Aman Couch pe khamosh betha hai,

"Kiya yeh sach hai, Tum aur Ashi? "Maa

"Jii... "Aman Nazare niche kr ke ser han me hila kr.

"joh bhi tumhare Ashi ke bich hai, Sab khatam kar do" Papa gusse se.

Aman hairani se Papa ko dekhta hai, "K... kyun?, P...Papa...? "

"Yeh tum ache se jante ho beta...Ashi ki parwarish foreign me hui hai, Woh iss mahol me kese adjust karegi...?, Abhi usko sab acha lagega lekin... dhire dhire..." Papa kehte huye chup ho jate hai.

"Papa... Maa... Maine bhi Yeh soch kar Ashi se dur rhene ki koshis ki thi.... par.... Nahi ho paya... Main Ashi se..... Payar karta hun. "Aman Mayushi se.

"Kiya yeh bat, Kanak Vihaan jante hai?" Maa

"Hm... " Aman Ser han me hila kar.

sab khamosh ho jate hai.

In Hospital,

Laksh Siya ke kareeb betha hai, Siya Behoshi me apne hath ko move karti hai, Laksh Siya ke hath ko Dekh kar,

"Siya?...Siya"Laksh Khade hoker Siya ka hath pakad ke.

Siya apni ankhe dhire dhire khol rahi hai, Samne dhundhla-pan dhire dhire Saaf ho raha hai, Samne jiski parchai usko nazar aa rahi hai, Laksh ka chehra Siya ke samne saaf ho gya hai, Siya Oxygen mask lage hone ki wajha se kuch bol nahi paa rahi hai. Siya ko Kamzori mahsoos ho rahi hai. Laksh Siya ko hi dekh raha hai aur Siya Laksh ko.

tabhi...

"Sir.... Australia jane ki Sabhi tyari ho chuki hai" Ek anjan aadami Ward room ke door pe.

"Ok... "Laksh Siya ka hath chod ke us adami se.

Siya apne man me," Mujhe Australia bheja jaa raha hai...? Kyun....? " Siya Keh kr apni ankhe bandh kar leti hai. aur behosh ho jati hai.

In Morning,

Vihaan abhi tk soh hi raha hai, Kanak Pas ek chair pe bethi hui Kaavi ko Goadh me le kar Khila rahi hai, Tabhi Vihaan ki Mom wahan aa jati hai, Kanak Mom ko dekhti hai, Mom Kanak ko dekh nazre nahi mila paa rahi hai, Vihaan Mom ki aane ki Awaz se uth jata hai,

"Mom aap? ,Time kiya hua hai?, Main kab se soh raha hun,? Kanak tum wahan kyun bethi ho?, Mujhe tumne uthaya kyun nahi? " Vihaan achaank se uth kar

"Vihaan Beta subha ho chuki hai, Main tumhare Kapde aur kuch zaruri saman laai hun" Mom

"Ahn....Thank you Mom... Main apke liye aur Kanak ke liye breakfast le kr aata hun" Vihaan Uth kr Ward room se chala jata hai.

"Vihaan Bahut tried tha... Isly itni der tak sohta raha hai" Mom

"Ji.... Woh meri kafi din se dekh-bhal kar rahe hai isly woh soh nahi paye hai. " Kanak smile kar ke.

"Kanak.... Mujhe tumse.... Maafi magni hai... " Mom Kanak se.

"Jii...? Mom...? Kyun...? " Kanak

Vihaan usi bich ward room ki Door pe aata hai, Mom ki awaz sun kr wahi ruk jata hai,

"Kyun ki... Maine galti ki hai... Agar uss din Main tumhe Gusse me... dhakka nahi deti... Tumhari Halat ki zimmedar Main hi hun" Mom ankhe nam kar ke.

Kanak sun kr Mom Se," Mom... Apki koi galti nahi hai, Yahan Main bhi thik hun, aur Meri Kaavi bhi... "

"Hmm... Main bahut Sukar karti hun, tum dono hi Thik ho... Kanak... Main aaj ek maa hone ke naate tumse, Kuch mangti hun.... Mene... Vihaan ko bahut mushkil se paya hai... Please ho sake toh use yeh bat kabhi mat btana... Warna woh phir se mujhse nafarat karne lag jayga" Mom Hatho ko jodh kar Kanak se Binati karti hai.

"Mom aap yeh kesi bate kar rahi hai, Vihaan ji apse bahut pyar karte hai, Maine kuch nahi btaya hai aur aap chahati hai, Main unhe kuch bhi nahi bataungi....Aur Aap mujhse kesi bhi maafi mat mangiye aap badhi hai" Kanak Mom ka hath pakad kr.

Vihaan sari baat sun leta hai, Aur Andar aata hai. Kanak Mom Vihaan ko dekh kar Khamosh ho jate hai, Khane ka Saman Bed ke pas rakhi table pe rakhte huye Vihaan

"Kiya hua?, Aap dono Chup kyun ho?, Main kuch laya hun Aap log breakfast kar lo... Aur han... Kanak Maine abhi Doctor se baat ki hai, Doctor keh rahe hai, Aaj evening tak tum Discharge ho jaogi... " Vihaan Khushi se.

"Acha... yeh toh khushi ki baat hai... Mujhe ab jana hoga aur... sabko btana hoga, sab bahut khush hoge, ki Kanak discharge ho rahi hai, kaavi pehli bar apne ghar aaygi uske liye welcome party bhi toh karni hai, phir milte hai... "Mom Kanak aur Kaavi ko pyaar kar ke Wahan se chali jati hai

Vihaan Kanak ko Dekh raha hai, Kanak Aram se Nasta kar rahi hai, Kanak Vihaan ko apni aur dekhte huye dekh leti hai, Kanak ankho se ishara kar ke Vihaan ko puchati hai, Vihaan nahi me ser hila deta hai.

"Kanak... Mujhe abhi tak nahi pata hai... Uss din tum... gir kese gai thi... na hi tumne mujhe btaya hai...? " Vihaan achanak se Kanak se sawal puch leta hai.

Kanak phele toh chup rheti hai, Vihaan Kanak ki ankhe padh leta hai, Ki Kanak usse kuch chupa rahi hai.

Kanak kuch min ruk kar, "Vihaan Ji... Aap sahi khete the, Main bahut Careless hun... Uss din floor pr pani gira hua tha... Mene dekha nahi....usi pe mera per phisal gaya tha bas... " Vihaan se nazare chura kar Kanak khehti hai.

"Acha Oh... Wese aage se khayal rakhna... " Vihaan keh kar Kaavi ke pas chala jata hai. aur use goadh me le kar Man me sochta hai.

"Jaha tak mujhe yaad hai, Uss din Floor pe kahi pani nahi gira hua tha... Aur naa hi Kanak ke kapde kahi se gile the.... "

Vihaan Kanak ko phir se dekhta hai, aur Smie karta hai,

"Kanak....Tum... apne se bhi jayda... Sabka khayal rakhti ho.... bhale tumhe uske liye mujhse jhut hi bolna padhe... par tum sabki care karti ho... Mom ki wajha se mujhe hurt na ho... tumne mujhse bat chupai.... Main tumhari iss bat ki respect karunga, Aur yeh Raaz Raaz hi rahega ki.... Main sab janta hun.... Main Mom se Nafrat nahi karunga.... " Vihaan Kanak ko dekhte huye Man me sochta hai.


クリエイターの想い
IU207 IU207

Sorry Guys,

I am late...

Aage se yesa nahi hoga...

main try karungi ki jald se jald New chapter release kar saku...

Well apne comment & reviews dena mat bhulna

Main intezar krti hun aur karungi...

thanks Alot itna mujhe aur meri story ko pyar dene ke liye...aap sab joh bhi meri story psnd krte hai...

thanks you and i respect you guys

Love u All readers

next chapter
Load failed, please RETRY

週次パワーステータス

Rank -- 推薦 ランキング
Stone -- 推薦 チケット

バッチアンロック

目次

表示オプション

バックグラウンド

フォント

大きさ

章のコメント

レビューを書く 読み取りステータス: C143
投稿に失敗します。もう一度やり直してください
  • テキストの品質
  • アップデートの安定性
  • ストーリー展開
  • キャラクターデザイン
  • 世界の背景

合計スコア 0.0

レビューが正常に投稿されました! レビューをもっと読む
パワーストーンで投票する
Rank NO.-- パワーランキング
Stone -- 推薦チケット
不適切なコンテンツを報告する
error ヒント

不正使用を報告

段落のコメント

ログイン