アプリをダウンロード
50% BE-INTEHA-ISHQ / Chapter 1: Update-1
BE-INTEHA-ISHQ BE-INTEHA-ISHQ original

BE-INTEHA-ISHQ

作者: Maq_Qureshi

© WebNovel

章 1: Update-1

Update-1

Ek ladka jo kabhi mohabbat ka mazak udaya karta tha.

Kahta tha pyar mohabbat sab bakwas hai ye sab log apni apni sexual need puri karne ke liye ek dosre ko mahabbat ke naam se use karte hai.

Aaj wahi apni mohabbat ko gali gali me dhund raha hai.

Usne kabhi socha bhi nahi tha ke usko kabhi mohabbat hogi magar taqdeer usko mahabbat ke paas laker hi gayi.

Aaj mausam ka mijaaz kafi tadak ta bhadak ta tha barish kafi zoro se baras rahi thi aisa maloom hota tha ke ye mausam kisi ke dukh me ro raha hai.

Wahi aisi barish me log idhar se udhar bhag rahe the koi chata khol raha tha toh koi kisi saya dar jaga per pani se bachne ke liye thaher gaye they toh koi chai ki chuski lerahe they.

Aise me ek ladka barish me bheeg raha tha aur kuch badbada raha tha.

Aisa lag raha tha jaise ye barish us ko bohat hi shiddath se kisi ki yaad dila rahi thi.

Aisa maloom pad raha tha ke woh iss barish ke zariye se kisi ko mehsus kar raha ho.

Us ke ankhon se pani nikal raha tha magar woh pani bhi iss barish me kahi gum hota ja raha tha.

Woh lakda aise hi najane kitni hi der barish me khada raha use kuch hosh hi nahi tha ke use log badi hi ajeeb nazron se dekh rahe hai.

Aisa maloom pad raha tha ke usko in logo se koi farq hi nahi pad raha ho.

Woh bas yahi kah raha tha ke kyun chod gayi tum mujh ko.

kyun, kya mujh par zara bhi bahrosa nahi tha.

Ya meri mohabbat pe bharosa nahi tha.

kya meri mohabbat itni kamzor thi ke tumne us per bharosa nahi kiya.

Woh yahi badbada raha tah ke uske kandhe per kisi ka hath mahsoos kar ke woh hosh me ata hai aur mudh ker dekha toh uske dost ahmad aur imtiyaz uske paas khade hai aur us ke kandhe per ahmad ka hath hai.

Toh woh ahmad se kahta hai.

Ladka : ahmad yaar kya meri mohabbat itni kamzor thi ke woh mujh ko yun chod gayi. kya usko mujh per aur meri mohabbat pe inta bhi yakeen nahi tha ke usne mujhe kuch kahne ka mauka bhi nahi diya.

Aur chod kar chali gayi.

Kyun yaar kyun kiya usne aisa kyun.

Ye kah kar woh ladka uske dost Ahmad ke gale lag kar zor zor se rone lagta hai.

Ahmad : ( with tears ) nahi yaar usko tujh per pura bharosa tha.

Kuch wajah rahi hogi warna yaar woh bhala kyun tujh ko chod jati.

Woh toh tere ko tere se bhi ziyada pyar karti thi.

Yeh kah kar ahmad bhi us ko kaske gale laga leta hai aur use samhja ne lagta hai.

Itne me imtiyaz jo inke sath hi khada tha situation ko halka karne ke liye kahta hai.

Imtiyaz : Abe ab kya aise hi khade rahoge kya.

log hume ghoor rahe hai jane kya kya sonch rahe honge.

Ab chalo bhi ab kya yahi khada rehna ya shopping bhi karni hai.

Yeh kah kar woh un dono ko kheech ne lagta hai jisse dono alag hojate hai.

Alag hokar ahmad kahta hai.

Ahmad : humare aise gale milne se tujhe mirchi lag rahi hai toh tu bhi milley kisi kutte wutte se.

Yeh kah kar woh bhi mahol halka karne ke liye hasne lagta hai.

Imtiyaz : mil toh lu mai bhi kisi kutte se gale magar kya hai na mere yaar ajju (Azeem ) ke gale pahle hi ek kutta mil raha hai.

Yeh kah kar woh bhi hasne lagta hai.

Jisse sun kar ahmed imtiyaz ke peeche bhaagta hai.

Ye kahte huwe.

Ahmed : sale tune muje kutta kaha ruk abhi batata hoon ke kon kutta hai.

Ruk sale bhagta kaha hai ruk.

Imtiyaz : abe jaja mujhe pata hai tu kya hai batane ki koi zarurat nahi hai.

Ajju ab thoda normal hogaya tha woh bhi ab in log ke sath shamil hojata hai.

Ajju : are tum dono ladna band karo aur chalo shopping karne.

Ahmad : sale aaj toh tu ajju ki wajah se bach gaya agli baar dekh lunga.

Imtiyaz : chal thik hai phir isi baat per tujhe meri taraf se cigarette ka ek pocket free.

Ajju : are abhi nahi yaar baad me pahle shopping karte hai phir kisi acche se restuarant me lunch karte hai phir koi movie bhi dekh lenge.

Ahmed : haan yaar ye sahi rahega.

Imtiyaz : toh thik hai phir chalo jaldi se shopping karke nikalte hai.

Phir teeno shopping karne lagte hai.

Shopping ke baad teeno wahi mall me hi lunch karte hai aur wahi mall me hi movie dekhte hai.

Imtiyaz : Yaar movie acchi thi yaar.

Ahmed : Kya khak acchi thi isse acchi toh mai hi acting kar leta.

Imtiyaz : abey tujhe kya pata movies ke bare me sale koi kaam toh sahi se hota nahi hai bada aya acting karne wala.

Ahmed : kya bola bey mere se koi kaam sahi sa nahi hota.

Tu toh bada mr perfect hai na.

Ajju : Are yaar ab bas bhi karo.

Kya har waqt ladte rahte ho chalo ghar chale.

Teeno gadi me baith jate hai.

In car :

Imtiyaz : aur bhai kal chalna hai na meeting me.

Ajju : haan chalna hai maine presentation bhi ready karli hai.

Imtiyaz : ok phir thik hai.

Ahmed :Haan haan tujhe toh thik hi lage ga kaam chor kahi ke.

Imtiyaz : kya bola be phirse bol.

Ahmed : yahi ke tu kaam chor hai.

Imtiyaz: aur woh aisa q.

Ahmed : woh is liye ke ye presentation tujhe tayyar karni thi.

Imtiyaz : haan toh kya hua maine kiya ya ajju ne ek hi baat hai.

Ahmed : haan toh isi liye hi toh kaha hai kaam chor.

Abhi imtiyaz kuch kahta ajju ne dono ko chup kara diya.

Jo itni der se dono ki bahes sun aur dekh raha tha.

Ajju : chup hojao tum dono jab dekho tab ladne lag jate ho.

Aur kaan khol kar sunlo kal tum dono ko mai present karne wala hoon.

Yaad rahe waha koi gadbad ki toh tum dono ki aisi halat karonga koi pahchan hi nahi payega.

Imtiyaz : haan toh mai kaha kuch karta hoon yahi sab karta hai.

Ahmed : haan sale jaise ke tu toh doodh ka dhula hai kuch bhi nahi karta.

Ajju : are tum log phir se shuru hogaye.

Aise hi baat karte karte ye log ghar pohanch gaye

Teeno ke ghar ek hi Colony me they.

Pahle imtiyaz ka ghar lagta hai toh usko us ke ghar ke paas drop karke dono ne use bye kaha aur kal ke liye jaldi ready rahne ko kaha. Aur apni car agey barhadi.

Ahmed : Aaj achanak uski yaad kyun agai thi tujhe.

Ahmed ne car imtiyaz ke ghar se thoda agay ane per ajju se pucha.

Ajju : tujhe toh pata hi hai na yaar us ko barish kitni pasand thi.

Aaj barish ko dekh kar uski yaad agai ke kaise woh barish me bachon ki tarha bheega karti thi.

Na kisi ka daar tha usko na kisi ki parwah.

Bas usko barish me bheegna hota tha jo woh bheeg kar hi rahti thi.

Bas yaar aaj barish ko dekh kar aisa laga ke woh bhi wahi per bheeg rahi hai aur mujhko apne paas bula rahi hai.

Ye kahte huwe ajju ki ankhen thodi si nam hojati hai.

Ahmed : Haan yaar mujhe pata hai usko barish kitni pasand hai.

Magar yaar tu baar baar aise sad mat hojaya kar accha nahi lagta.

Ajju : kya karu yaar bohat yaad ati hai woh.

Aaj toh barish ki wajah se aur bhi yaad arahi hai uski.

Ahmad : chal chod yaar aur bata uncle aunty kaise hai aur didi kaisi hai.

Bohat din hogaye unse mile hue.

Aaj millunga.

Ajju : sab acche hai.

Mummy tujhe bohat yaad karti hai.

Aur didi bhi tere se bohat naraz hai.

Teri toh beta lagne wali hai.

Hahahaha.

Ahmed : sale dara mat pehle hi aunty ne kaha tha milne ke liye.

Aur didi ko manana bhi hai uske liye alag se papad belne padenge.

Ajju : hahahahaha sale kisne mana kiya tha tujhe ghar aney ke liye.

Maine kai baar bola ke ghar per aakar mille.

Per nahi sahab ko toh fursat hi nahi.

Aise hi bate karte huwe dono ajju ke ghar pohanch jate hai.

Ab zara ajju ke family ka intro kar lete hai.

Name : M.A Ghani Qureshi ajju ke dad

Age : 45

Magar dikhte nahi apni fitness ka khas khayal rakhtey hai.

Aaj bhi koi inko ajju ke sath dekhe toh.

Inko baap beta nahi bada bhai hi samhaj te hai.

ye ek businessmen hai.

Ye India ke jane mane industrial hai.

Inke kai sare shopping mall aur companies complexes aur bhi kai sare business hai.

Inke ek eshare per sarkare palat jati hai.

Doulat hone ke bawajud bhi ye kisi ko bhi apne se chota nahi samjahte aur ghareeb o besahara logon ki hamesha madad karte hai.

Inko duniye me sab se pyara inka pariwar hai.

Aur apne dono bachon me inki jaan basti hai.

Ye in ke liye kuch bhi kar sakte hai.

Name : Faima Qureshi ajju ki mom.

Age : 40

Magar lagti nahi hai apni sehat ka ziyada khayal rakhti hai.

Koi bhi in ko dekh ker ye nahi kah sakta ke ye do bacchon ki maa hai.

Aise dikhti hai ke abhi abhi shadi hui hai.

Ye ek house wife hai aur apne husband aur apne dono bacchon se bohat pyar karti hai.

Ye Nature ki bohat hi shant hai magar koi inke husband ya inke bacchon ko kuch bhi kahe toh utni hi khatarnak bhi hosati hai.

Name : M.A Azeem Qureshi ( ajju ) ( Hero )

Age : 25

Colour : Fair.

Dekhne me ek dam hollywood ke hero ki tarha koi bhi ek bar dekhe toh bhool na paye.

Har koi isko pyar se ajju bolte hai.

Ghar ke chote aur ek lautey bete hai.

Bachban se hi ye khush mijaz ke hai har kisi se tameez se milna apne se badon ki izzat karna choton ko pyar karna.

Bade baap ki ek lauti aulad hone ke bawajud bhi is me zara bhi ghamad nahi hai.

Isko hamesha se hi sadgi pasand hai.

Ye ziyada showoff nahi karta.

Ye hamesha simpe hi rahta hai.

Is ko duniya me sab se ziyada apni famliy pyari hai.

Ye apni family se bohat pyar karta hai.

Aur khas kar apni didi se jo isse 1saal badi hai.

Iss me iss ki jaan basti hai.

Agar didi ko zara sa bhi bukhar(fever) hojaye toh ye raat raat bhar jaag kar in ki dekh bhal karta hai.

Iss ke char best friend hai.

Jin ke liye ye kuch bhi karne ko taiyyar rahta hai.

Ahmed

Imtiyaz

Nizam

Alauddin

Aur bhi friends hai magar ye iss ke best buddies hai ye bachpan se hi inke sath bada hua hai.

School aur college me bhi ye sath hi rahe.

Name: shaheen qureshi

Age:26

Colour : Fair

Dekhne me ekdam masoom aur bohat hi khubsurat hai.

Ye thodi si chulbuli aur natkhat hai.

Magar gussa toh madam ki naak per rahta hai.

ye ek docter hai inko bachpan se hi docter banne ka shauq tha aur iss ko inho ne apna passion bana liya.

Ye apne mom dad ki ladli hai.

Aur ye apni dad ki jaan hai.

Aur inki jaan inka ek lauta bhai ajju hai.

Ajju naam bhi inhi ka diya hua hai bachan se hi ye iska khayal rakhte hue ayi hai.

Inko inki family bohat pyari hai.

Ahmed aur imtiyaz ko bhi ye apne bhai ki tarha hi treat karti hai. Aur Ahmed imtiyaz bhi inko apni sagi bahen ki tarha hi mante hai.

Ahmed family intro.

Name : Amjed baig. ( Ahmed dad )

Age : 45

Colour : fair

Ye ek businessmen hai in ka moter parts ka business hai.

Ye bhi ek rich family se belongs karte hai.

Inka nature tohda sakht hai.

Ye apne bete Ahmed ki sharaton se bohat pareshan rahte hai.

Magar pyar bhi bohat karte hai magar dikhate nahi har waqt us ko kuch na kuch kahte hi rahte hai.

Ye apni beti ko bhi bohat pyar karte hai.

Ye apni family se bohat pyar karte hai.

Name : Shaziya baig(Ahmed mom)

Age : 40

Colour : fair

Ye ek house wife hai.

Inko apne husband aur bachao se bohat ziyada lagao hai.

Ye ziyada waqt apne ghar me hi rahti hai.

Ye apne bete se bohat pyar karti hai jab bhi ahmed ke dad usko dante hai ye beech me aker isko bacha leti hai.

Name : Ahmed baig.

Age : 25

Colour: fair

Dekhne me handsome hai aur ye ek dil phek ashiq hai.

Jo bhi ladki inko acchi lage uske sath flirt karna apna dharam samhaj te hai.

Aur kai baar ladkiyon se chata bhi kha chuke hai.

Ye C.A hai. Mathematics me inko bohat intrest hai.

Ye apne doston per jaan chidak ta hai.

Apne doston ke liye kuch bhi kar guzar jata hai.

Ye apne maa baap ke ek laute bete hai.

Aur eklaute hone ka pura fayda uthate hai.

Imtiyaz family intro.

Name : Ishaq mirza ( Imtiyaz dad ).

Age : 50

Colour: fair

Ye ek retire major hai. Ye bhi ke rich family se belong karte hai.

Ye niyamo ke bohat shakt hai.

Inko niyamo ko na manne wale bohat hi zaher lagte hai.

Inke char bete hai.

Ye apne beton ko bhi apne jaisa fauji banana chahte hai.

Inke teen beton ne toh ikni baat manli magar ek ne nahi.

Ye bohat hi sakht khisam ke hai.

Inka manna hai ke jo insaan apni zingadi me niyam nahi banata woh kabhi bhi kamiyab nahi hota.

Waise toh ye apne family se bohat pyar karte hai.

Magar kabhi dikhate nahi.

Name : Ayesha mirza. ( Imtiyaz mom )

Age : 45

Colour: fair

Ye ek house wife hai inko apne bacchon aur husband se bohat pyar karti hai.

Ye apne husband ki har baat ko support karti hai.

Bus apne chote bete se bohat pyar karti hai

Isi liye is ko inho ne fauj me jane nahi diya.

Name : Imran Mirza. ( kernal in indian army ) big brother .

Name : Asif Mirza ( major in indian army) second brother .

Name : Arshad Mirza ( lieutenant in indian army) third brother.

Name : Imtiyaz Mirza.

Age : 25

Colour : fair

Dekhne me handsome hai aur intelligent bhi bohat hai.

Ye ek software engineer hai.

Inko bachpan se hi computer me interest hai.

Ye computer aur mobile me hamesha lage rahte hai.

Ye apne sacche pyar ki talash me hai.

Inka manna hai ke zindagi bina pyar ke nahi kat sakti.

Yah humesha haste aur hasate rahte hai.

Inki life me inke family aur best friends hi inke liye sab kuch hai.

Ye apne friends ke kuch bhi karne hamesha taiyyar rahte hai.

(Aur bhi log ayenge jinka intro agey hoga toh ab story per agey badte hai ).

Jaise hi ajju aur ahmed gahar ke paas jate hai watchman inki car dekh kar gate kholta hai.

Phir ajju car garage me park karke ata hai aur dono andar jate hai.

Jaha per ajju ki mom hall me baith kar TV per koi show dekh rahi thi unho ne jab dono ko dekha toh TV band kar deti hai.

Dono ne ajju ki mom ko salam kiya.

Ajju : assalamu alaikum mom.

Ahmed : assalam alaikum aunty

Mom : wa alaikum assalam beta ji.

Arey beta aap is taraf kaise bhatak gaye.

Aaj hum ghareebon ki kaise yaad agayi.

Ahmed unke aisa kahne ka matlab samhaj chuka tha isi liye usne agey bad kar kaha.

Ahmed : arey aunty aisa kyun kah rahi hai aap.

Aap ko toh pata hi hai na mai mere nani ke paas gaya hua tha.

Mom: arey bhai aap ko aye hue bhi kitna time hua ye bhi bolye.

Ahmed : arey aunty mai thoda busy tha.

Thik hai aunty sorry ainda aisa nahi hoga.

Ye kah kar ahmed ne apne kaan pakad kar masoon si shakal banai jise dekh kar ajju aur uski mom ki hasi nikal gayi.

Ajju : chalo mom maaf kar bhi do dekho toh kaisa bechare si shakal bana rakhi hai isne.

Aur waise bhi didi se bhi toh saza milni hai.

Ye kah kar ajju apni mom ke paas chala gaya.

Mom : chal mai toh maaf kar deti hoon.

Per yaad rahe agli baar bilkul bhi maaf nahi karongi.

Aur baitho tum logao ke liye coffee bana kar lati hoon.

Ye kah ker mom chali gayi.

Mom ke jate hi ahmed aur ajju sofe per baith gaye.

Ahmed  : aunty didi kaha per hai nazar nahi arahi.

Sofe per baith kar ahmed ne ajju ke mom ko awaz laga kar pucha.

Mom : beta woh hospital gayi hui hai ati hi hogi.

Jaise hi ajju ki mom ne bola waise hi door bell baji.

Bell ki awaz sun kar mom ne ajju se kaha.

Mom : beta dekh teri didi ayi hogi ja jaker door toh khol.

Ajju ne uth ker door khola aur dekha ke baher uski didi khadi thi.

Ajju ne side hat kar didi ko jauga di toh didi ander ayi aur akar sofe par baith gayi.

Unhone ahmed ki taraf ek baar dekha aur usko ignore kardiya.

Ahmed jo door bell bajne ke time se thoda sa dara hua tha ab didi ka khud ko aise ignore karne se aur bhi ziyada daar gaya.

Aur sofe se uth ke didi ke paas gaya aur unse kaha.

Ahmed : assalamu alaikum didi kaisi hai aap.

Ahmed ke salam karne per bhi didi ne uske taraf nahi dekha aur ajju se kaha.

Didi : aur smarty aaj tu shopping per jane wala tha na gaya ya nahi.

Ye kah kar didi ne apna phone nikala aur usme aise hi dekhne lagi.

Ahmed ko pata tha didi usse naraz hai isi liye uski baat ko ignore karke ajju se shopping ka pucha.

Ajju : haan gaya tha na didi aur shopping bhi ki aur movie bhi dekhi.

Ahmed jo didi ka is tarha ignore karne se samhaj gaya tha ke didi usse bohat naraz hai isi liye usne apne shopping bags jo usne ajju ke ghar aney ke baad sofe per rakhe they uske paas gaya aur usme se ek bag nikal kar didi ke paas gaya.

Aur didi se kaha.

Ahmed : ye lijiye didi apke liye.

Aur bag didi ke taraf barha diya.

Ahmed ki awaz aur apne samne khade ahmed ko didi ne ek nazar utha kar uski taraf dekha aur apne phone me busy hogai.

Didi ko aisa karte dekh ahmad ne didi ke samne gutnon ke bal baith gaya aur apne kaan pakad kar didi se kaha.

Ahmed: sorry didi maaf kardijiye na.

Didi ne is baar ahmed ki taraf dakha aur didi ne ahmed ki jagha ajju se kaha.

Didi : ajju kah do isse ye chala jaye yaha se mujhe isse koi baat nahi karni.

Ye kah kar didi sofe se uth kar kitchen ki taraf chali gayi.

Didi ko aisa jata hua dekh ahmed bhi unke peeche bhaga.

Ahmed: are didi meri baat toh suno na plz.

Didi: mujhe koi baat nahi karni tumse.

Ahmed: are iss baar maaf kardijiye na next time se aisa nahi hoga.

Didi : haan haan har baar ka yahi hai tumhara didi next time nahi hoga kahna aur phir ghayeb hojana huh.

Ahmed: are nahi didi aaj ke baad aisa nahi hoga pakka promise.

Aisa kahte hue ahmed ne ajju ki taraf dekha jaisa kah raha ho bhai please kuch kar na yaar.

Ajju jo itni der se sab dekh raha tha aur maze le raha tha aur maze lene ke liye usne apni jaga se uthte hue apni didi se kaha.

Ajju : haan haan didi aap sahi kah rahi ho her baar ye aisa hi karta hai.

Aur maine kitni baar isse kaha bhi ke didi tere bare me puch rahi hai ek baar ghar aaker mille.

Har baar yahi kahta haan bhai thik hai ajaonga magar ata hi nahi.

Ahmed ko bilkul bhi iski ummid nahi thi ke ajju aisa bhi kuch kahega usne jaldi se didi se kaha.

Ahmed  : ( hadabada kar ) are nahi nahi didi ye jhoot bol raha hai mai toh yaha tha hi nahi.

Mai apne nani ke paas tha isi liye nahi aya yaha per warna mai toh har roz yaha ka ek chakkar zarror lagata hi hoon.

Didi jo itni der se gussa hone ka natak kar rahi thi ahmed ke is tarha hadbada kar bolne se unki hasi nikal gayi aur woh zor zor se hasne lagi aur ajju bhi hasne laga unke sath sath.

Jise dekh ahmed bhi samhaj gaya ke didi usse naraz nahi hai bus usko satane ke liye drama kar rahi hai

Didi : ( haste hue ) hahaha ahmed mujhe pata tha ke tum apne nani ke yaha gaye hue the isi liye yaha nahi aye.

Ye sab drama toh mujhe ajju ne karne ko kaha tha jab tum log ghar per aye toh iss ne mujhe massage kar kaha ke ahmed ghar me aya hua hai aur aap ko usse koi baat nahi karni aur woh kuch bhi bole aap ko bas gusse wala hi look dena hai.

Isi liye maine aisa kiya.

Didi ki baat sun ahmed ne aaju ki taraf gusse se dekha

Ahmed  : kamine toh ye sab tera kiya dhara hai ruk bhagta kaha hai.

uske taraf bhaga.

Ajju jab didi ahmed se sab kah rahi thi tabhi se bhagne ke liye ready tha usko pata tha aisa hi kuch hoga.

Isi liye ahmed ke pakad ne se pahle hi bhagne laga.

Ajju : are are bhai mai toh bas mazak kar raha tha.

Ahmed  : tu ruk tera mazak mai abhi nikal ta hoon.

Bada shaukh chada hai na tujhe mazak karne ka ek baar mere hath aja phir batata hoon tujhe.

Ahmed bhi uske peeche bhagne laga.

Dono aise hi bhaag rahe the ki utne me ajju ki mom kitchen se apne hath me coffee ki tray le kar ati hai.

Aur dono se kahti hai.

Mom : are band karo ye bacchon ki tarha bhagna aur ladna kab tak aise hi rahoge tumlog kab bade honge.

Ajju aur ahmed bhi mom ki baat sun kar ruk jate hai aur aaker sofe per baith jate hai.

Baith kar apna apna coffee ka cup utha kar chup chap coffee pine lagte hai.

Sabhi kahmoshi se coffee pete hai.

Coffee pine ke baad ajju ki mom ahmed se kahti hai.

Mom : aur beta ghar me sab kaise hai mom aur dad.

Aur tumhare nana nani ki tabiyat kaisi hai.

Tumhari mom toh ab ati hi nahi hai.

Bohat din hogaye hai usne mile hue.

Aur tumhare mama mami kaise hai.

Ahmed: ji aunty sab acche hai mom dad bhi acche hai.

Nana nani ki tabiyat bhi acchi hai.

Aur mama mami bhi badiya hai.

Aur mom ne bhi aap ko salam kaha hai aur ye bhi kaha hai ke jald hi aap se milne bhi ayengi.

Mom : tumhari mom ko bhi mera salam kahna aur kahna ke mai bhi unka intezar karongi.

Aise hi bate karte rahe hum log.

Didi : waise ahmed kuch laye the tum mere liye kaha hai woh.

Ahmed  : ( muskurate hue )are mai kaha kuch laya mai toh bas aise hi aap ko manane ke liye bol raha tha.

Didi : ( jhootha gussa dikhate hue )huh jao mai tum se baat nahi karti.

Ahmed  : are didi aap toh naraz hogai mai toh bus mazak kar raha tha.

Ye lijiye aap ke liye aap ke favorite color ki dress.

Ye kah kar ahmed ne apne paas ke sofe per rakhe bags me se ek bag ajju ki didi ko deta hai.

Didi : wow ahmed ye toh bohat hi beautiful hai. Thanks.

Ahmed : are ye kya didi thanks kah kar apne paraya kardiya na.

Didi : are nahi bhai mera aisa koi matlab nahi tha.

Agar tumhe bura laga toh sorry.

Ahmed  : are nahi didi mujhe bura nahi laga mai toh bas aise hi kah raha tha its ok.

Didi : aisa hai toh its ok. Aur ajju tune kya laya mere liye.

Ajju : mai bhi dress hi lene wala tha but isne le liya toh mai ne aap ke liye yeh sandals aur ye watch liya hai. Aur mom aap ek liye ye sadi aur dad ke liye ye panjabi laya hoon.

Yah kah kar ajju ne apne paas rakhe bags me se ek bag apni didi ki taraf badha diya.

Aur do bags apne mom ko diye.

Didi : wow ye toh matching hai thanks bhai tum dono world ke sab se acche bhai ho.

Ye kah kar ajju ki didi ne dono ko ek hug diya.

Ajju ki mom jo sab kuch itni der se apne bacchon ke bheech ki meethi takar aur pyar ko dekh rahi thi uth kar apne bacchon ki peshani( matha ) ko choom kar kaha.

Mom : tum logon ke pyar ko kisi ki nazar na lage. Tum log aise hi ek dusre ke sath rahna.

Aur ye imtiyaz kaha hai aya nahi tum logon ke sath.

Ajju : mom woh bhi aya tha humare sath shopping bhi ki but kal meeting me uska presentation bhi hai uske liye usko uske ghar chor kar aye hai.

Mom: ok chal thik hai kal meeting ke baad usko bhi ghar lekar ajana.

Ajju : ok mom.

Mom : thik hai tum log baten karo mai dinner ki tayyari kar leti hoon. Waise bhi ab thodi der me tumhare dad bhi ate hi honge.

Ye kah kar mom kitchen me chali gayi unke sath didi bhi unki help karne chali gayi. Ab ahmed aur ajju hi dono hall me baithe hue the.

Ahmed  : toh kal kya karne wala hai tu.

Ajju : ( with smile )kya karna hai tujhe jaan kar. Daar lag raha hai kya tujhe.

Ahmed  : abey mai toh aise hi puch raha tha. Mujhe kyun daar lagne laga.

Ajju : haan haan pata hai tu kitna bahadur hai. Chal ye chod aur bata tune apna presentation banaya hai ya nahi.

Ahmed  : haan yaar mai ne toh sab tayyari karli hai. Tujhe toh pata hi hai mai kitna mehanti hoon.

Ajju : haan mujhe pata hai tu kitna mehanti hai isi liye puch raha hoon ki banaya hai ya nahi. warna aisa na ho ke tu mere hath se zaya na hojaye.

Ahmed  : nahi nahi yaar aisa kuch bhi nahi hai tu toh khama kha mujh per shak karta rahta hai. Maine sab ready kar rakha hai.

Ajju : aisa hi hona chahiye isi me teri bhalayi hai.

Aise hi dono me bate hoti rahti hai ki door bell bajti hai toh ajju jaker door kholta hai.

Baher uske dad khade the apne hath me office bag liye hue.

Ajju: assalamu alaikum dad.

Dad : wa alaikum assalam.

Salam karne ke baad ajju uske dad ko ander ane ke liye jagha deta hai.

Ahmed : assalam alaikum uncle.

Dad : wa alaikum assalam beta.

Aur ahmed ko dekh ker.

Dad : aur beta ahmed kaise ho.

Ahmed : accha hoon uncle.

Dad : aur beta ghar me sab kaise hai.

Ahmed: sab acche hai uncle. Aap kaise hai.

Dad : mai toh ek dam fit hoon.

Baten karte hue teeno sofe per baith jate hai. Ajju ki mom kitchen se pani laker ajju ke dad ko deti hai.

Mom : assalamu alaikum kaisa raha aaj ka din.

Dad : wa alaikum assalam accha gaya. Aap sunaiye aap ka kaisa gaya din.

Mom : humara kya hai bin bhar bas ghar me rahna hai aur ghar ka kaam karna aur kya.

Dad : haan bhai ye toh hai. Aur tum dono sunao kaisa chal raha hai tum logo ka kaam. Maine suna hai kuch naya karne wale ho.

Ajju : ji dad sahi suna hai apne. Hum ek naye project per kaam kar rahe hai. Aur almost pura ho chuka hai.

Dad : ye toh badi acchi baat hai. Best of luck kal ke liye.

Ajju : thanks dad.

Ahmed  : thanks uncle.

Dad : ok tum log bate karo mai jab tak fresh hoke ata hoon.

Mom : ok aap jaiye mai bhi jab tak dinning table tayyar karti hoon.

Dad apne room me aur mom kitchen me chale jate hai. Ajju aur ahmed bhi baten karte baith jate hai. Thodi der me dad bhi fresh ho ker ate hai. Aur mom bhi didi ke sath dinning table set karke awaz laga ti hai.

Mom : dinner ready hai sab aajao idhar.

Mom ki awaz sun kar hum sab dinning hall me ajatey hai.

Sab apni apni chair per bhaith jate hai.

Sabhi log baten karte hue dinner karte hai.

(Ab zara ajju ke ghar per ek nazar dallete hai.

Ye bungalow totally luxury hai. Is ghar me har cheez luxury hai.

Ye ek duble story ( floor ) bungalow hai jisme total 8 room 2 hall ek kitchen ek dinning hall aur ek living room hai.

Ghar me enter hote hi bada hall hai right side per kitchen aur left side per dinning hall hai. Hall se sidha jate hi right side per stairs ( sidhi ) hai jo first floor per jate hai.

Stairs se sidha jate hi right side per 2 room aur left side per 2 room hai. Jisme se right side ka room ajju ke mom dad ka hai. Aur ek ajju ke dad ka study room hai. Aur left side me ek room guest room aur ek store room hai.

First floor per 4 room hai right side per 2 room lift side per 2 room hai. Aur Ek bada hall hai jisko ghar me chote mote partys ke liye use kiya jata hai. Right side ka first room ajju ka hai aur second room ajju ka study room hai. Jiska door us ke room se bhi khul ta hai. Left side first room ajju ki didi ka room hai aur second room didi ka lab hai jisko woh apne chote se clinic ki tarha bhi use karti hai. Har room me attached bathroom hai.

Bungalow ke backyard me chota sa garden hai aur ek swimming pool bhi hai. Aur ek garage bhi hai jaha per unke cars khadi rahti hai.

Ye log jis society me rahte hai ye ek pausch socaity hai jaha per ziyada tar higher class ke log hi rahte hai.)

Dinner ke baad sabhi hall me baith kar baten karte hai.

Ahmed : ok uncle, aunty mai chalta hoon.

Mom : are beta itni jaldi ja rahe ho. Thodi der or ruk jate.

Ahmed : nahi aunty ab mai nikalta hoon. Ghar per mom , dad intezar karrahe honge.

Dad : ok beta thik hai jao. Allha hafiz. Aur haan salam kahna apne mom, dad ko humari taraf se.

Mom : aur haan apni mom ko kahna ke hum unhe yaad karrahe hai.

Ahmed: thik hai mai kah dunga.

Didi : ok apna khayal rakhna bhai. Bye Allah hafiz.

Ahmed: aap bhi apna khayal rakhna bye Allah hafiz.

Sab se milne ke baad ahmed ajju ke sath baher ata hai.

Ajju : kal time se ajana office. Or haan presentation ko ek baar acchi tarha se check kar lena thik hai.

Ahmed : ( mazak se ) yes sir jaisa apne kaha waisa hi hoga aur kuch sir.

Ajju : (with smile ) aur kuch nahi bus itna hi kafi hai tumhare liye.

Ahmed : thik hai bhai mai sab check karke hi niklonga. Aur time se office pohach jaonga.

Ajju : ok thik hai bye dekh ke jana allah hafiz. Uncle aunty ko salam kahna mera.

Ahmed : ok bye Allah hafiz kah donga salam.

Ahmed apne ghar ko nikal jata hai aur ajju bhi apne ghar me chala jata hai.

Ghar me uske mom dad apne room me sone ke liye chale gyar the. Ajju ki didi hall me baith tv dekh rahi thi. Ajju bhi apne didi ke paas ja kar baith jata hai.

Didi : toh sunao hero kaisa raha aaj ka din

Ajju : accha raha didi.

Didi : toh kya kya kiya aaj tum logon ne.

Ajju : kuch khas nahi pehle shopping phir movie aur last me ek restaurant me lunch bhi kiya. Aur Aap ka din kaisa raha?

Didi : hmmm accha hi raha din bhar patient ko dekhna aur kya.

Ajju : aap bore hojati hongi na didi roz roz mareezon ( patient's) ko dekh kar.

Didi : are nahi bhai mai kyun bor hongi bhala mujhe accha lagta hai logon ko help karna. Aur waise bhi maine bachpan se yahi toh chaha hai. Logon ki help karne me jo kushi hai na woh kisi aur me nahi. Tumhe pata hai jab log dilse khush hote hai tab unke ander ki Khusi ko jab baher latay hai na unko dekh ker itna sukoon milta hai ke unko lafzon bayan ( explain ) karna mushkil hai.

Ajju : haan didi aap sahi kah rahi ho kisi ki help karne me jo khushi milti hai woh kahi aur nahi milti.

Didi : haan isi liye toh mai doctor banna chahti thi.

Ajju : ok didi ab chaliye sone chalte hai. Mujhe kal jaldi jana hai office. Kal bohat kaam hai.

Didi : haan bhai chal thik hai.

Ajju ne tv off kiya aur hall ki aur kitchen ki light off ki aur apni didi ke peeche peeche uper agaya.

Didi : bye ajju goodnight. Kal ke liye best of luck l.

Ajju : bye didi goodnight. And thanks.

Ajju ki didi ajju se baat karke apne room me chali jati hai aur ajju bhi apne room mi chala jata hai.

Room me ane ke baad ajju apni dress change kar apna night dress pahen ker bed per baith jata hai. Baith ker apne bed ke paas rakhe table lamp ke drawer se apni dairy nikal ta hai aur usme likhne lagta hai.

In dairy : Kaha chali gayi tum mujhe akela chor kar tumhe pata hai na mai tumhare bina ek pal bhi nahi rah pata phir bhi mujhko chor kar chali gayi tum. Aaj jab barish ho rahi thi toh aisa laga jaise tum mujhe apne paas bula rahi ho aur kah rahi ho ke ajju ajao aur mujhe apne seene se laga lo. Mujhe aaj bhi yaad hai ke tumhe barish kitni pasand thi. Tum humesha jab bhi barish hoti toh ek pal bhi gawaye bina apna sab kaam chor kar barish me bheegne lagti. Aur mai tumhe mana karta phir bhi tum nahi manti. Mujhe bhi apne sath lejati phir mai gussa hojata toh tum mujhe manati. Please ab mai kabhi bhi tum per gussa nahi karonga ajaona please tum mujhe bohat yaad ati ho.

Dairy me likhte hue ajju ki ankhon me ansu ajate hai. Jise saaf karna bhi woh zaroori nahi samhajta. Dairy me likhne ke baad dairy ko wapas drawer me rakh kar ajju apne bed per let jata hai aur sone ki koshish karte hue sonchne lagta hai.

Ajju  : ( apne aap se ) kya waqai me mai itna bura hoon ke usne mujhe chor kar jana sahi samjha. Aur ek baar bhi mujhse baat karne ki koshish nahi ki. Kya mujhse hi koi ghalti hui hogi jiske liye usne aisa kiya. Haan shayed maine hi aisa kuch kiya hoga jo mujhe nahi karna chaiye tha. Ya phir kuch aur wajha rahi hogi.

Aise hi jane kya kya sonchte hue ajju neend ki wadiyon me khoja hai. Apne ane wale kal ke intezar me.

Kahte hai na kuch log apne peeche kuch aise nishan chod jate hai ke unke sath na rahne per bhi unke rahne ka ahsaas karte hai.

Ajju ke sath bhi aisa hi horaha hai.

Dekhte hai ajju apne pyar ko dhond pata hai ya nahi. Aur apne pyar se milta bhi hai toh halat kaise rahte hai.

Aur

Dekhte hai ke aisa kya hua ajju aur uske pyar ke sath jo ek dosre se BE-INTEHA ISHQ karne wala pyar achanak se kaha chala gaya aur aisa kya hua hoga uske sath jo usne ajju ko bina bataye chali gayi. Iss me ajju ki ghalti thi ya pyar ki majburi ya kisi ki sonchi samji sazish... janne ke liye bane rahe mere sath BE-INTEHA ISHQ.

Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.


クリエイターの想い
Maq_Qureshi Maq_Qureshi

this is my first time writing story so please give me some thoughts......

thank you.

next chapter
Load failed, please RETRY

週次パワーステータス

Rank -- 推薦 ランキング
Stone -- 推薦 チケット

バッチアンロック

目次

表示オプション

バックグラウンド

フォント

大きさ

章のコメント

レビューを書く 読み取りステータス: C1
投稿に失敗します。もう一度やり直してください
  • テキストの品質
  • アップデートの安定性
  • ストーリー展開
  • キャラクターデザイン
  • 世界の背景

合計スコア 0.0

レビューが正常に投稿されました! レビューをもっと読む
パワーストーンで投票する
Rank NO.-- パワーランキング
Stone -- 推薦チケット
不適切なコンテンツを報告する
error ヒント

不正使用を報告

段落のコメント

ログイン