アプリをダウンロード
100% BE-INTEHA-ISHQ / Chapter 2: Update-2

章 2: Update-2

Ek ladki apne room me aram se so rahi thi. Uske chahre per is waqt bohat hi pyari aur dil ko chu lene wali muskuraht thi. Usko dekh ke koi bhi kah sakta hai ke woh is waqt koi bohat pyara sapna dekh rahi hogi.

Achanak hi woh hadbada kar uth jati hai.

Uth kar dekhti hai ke koi uske bed ke paas khada hai aur gusse se use kuch kah raha hai.

Uske achanak uth kar baith ne ki wajha bhi. woh samne khada shaks hi tha. Kaise ? Toh thoda peeche chalte hai.

Ek lady ek room me jati hai aur us room me ek ladki bed per soyi hui hoti hai. Woh us ladki ko awaz laga kar uthati hai magar ladki nahi uthti toh woh paas me pada pani ka jug us ke uper dal deti hai. Jisse woh ladki hadbad kar uth jati hai.

Lady : ( gusse se ) Maharani sapne dekhna khatam hogaya ho toh jaldi uth ja aur kaam karle.

Ladki : ( darte hue ) ji...j...i ma..i abh..i ati hoon.

Lady : ( ghurte hue ) 10min me tum kitchen me hona chahiye.

Ladki : ji thik hai.

Woh lady usko kitchen me anay ka bol kar room se baher chali jati hai. Lady ke jate hi woh ladki apne apse kuch badbate hue uthti hai.

Ladki : chal beta mahi uth ja aur lag ja kaam pe aise baithe rahi toh phir miss hitler ( Nadiya ) ajayegi aur kahe gi tum logon ko ek baar me baat samhaj nahi ati kya.

Apne aap se baat karte hue mahi washroom me jaker fresh hoti hai. Aur room se nikal kar sidha kitchen me chali jati hai.

New intro.

Name : Miss Nadiya khanam

Age : 50

Colour: Fair

Ye ek yateem khana( orphanage ) chalati hai. Ye ek sakht khisam ki khatoon (lady) hai. Ye kafi time se ye yateem khana chala rahi hai. Ye bachon se bohat hi sakhti se pesh ati hai.  Ye in bachon se bohat kaam karati hai. Ye ek lalchi kism ki aurat hai. Yaha per bohat sare bache rahte hai. Inko in bachon se koi matlab nahi hai. Inko bas paiso se matlab hai. Ye bachon ke naam per kai bade bade logon se chanda ( fund ) leti hai. Aur isi se ye yateem khana ( orphanage ) chalta hai. Ye ek bewa ( widow ) khatoon hai inke shoher ka inteqal ( death ) inki jawani me hi hogaya tha inki koi aulad nahi hai. Aur ye yateem khana bhi inke waleed ( father ) ne shuru kiya tha ghareeb or yateem bachon ke liye. Unke waleed ke inteqal ( death ) ke baad ye inke under me agaya.

Yaha per kaam karne per hi kahana milta hai yaha per chote aur bade bache hai aur ye yateem kahne me sirf ladkiyan hi rahti hai.

Name : kahiroon bee.

Age : 50

Colour : Fair.

Ye ek mazakiya maijaz ki aurat hai ye her hamesha kisi na kisi se mazak karti hi rahti hai. Inki bhi koi aulad nahi hai magar ye yaha ke bachon ko apne bachon ki tarha hi pyar karti hai. Ye talak shuda aurat hai. Ye ek ghareeb family se belongs karti thi. Inke sasural walon ne in per bohat zulm kiya tha aur shauher ( husband ) bhi sharabi tha her roz marna pitna aur apne gharwalon se bhi galiya dene lagata tha. Magar ye kuch bhi nahi kahti thi per jab zulm bohat ziyada hogaya toh inho ne iske bare me apne ghar walon ko kaha magar gharwale bhi kya karte inki itni takhat kaha thi ke kisi ke khilaf kuch kar sake isi liye inke gharwalon ne inko saber karne ko kaha. Jab inko apne gharwalon se bhi koi madad na mili toh ye apne aap ko kahtam karne ke liye chali gayi thi. Ye apne aap ko train ke niche aker apni jaan deni hi wali thi ke kisi ne aker inko waha se peeche kheench liya. Ye nadiya ke baba ( father ) the inho ne inko waha se apne yateen khane ko laye aur inko apne apko kahtam karne ki wajha puchi toh. Kairtoon bee ne inko apni kahani batayi jab nadiya ke baba ne inki kahani suni toh inho ne inki madad karne ke liye kaha aur inko inke shauher se talak bhi dilwaya. Tab se ab tak ye yahi rahti hai. Yaha per sabhi bachon ki dekh bhal yahi karti hai.

Ye ziyada tar hyderabadi basha ka istemal karti hai.

Name : Mahira Chaudhary. ( HEROIN )

Nick name : Mahi.

Age : 23

Colour : Very Fair

Ye ek sidhi sadhi si lakdi hai. Dekhne me ek dam masoom aur bholi bhali si ye ladki medium hight gol chara badi badi ankhe Curley ( ghugrale ) baal ek dam slim aur bohat hi khubsurat ladki hai. Koi ek baar dekhe toh bhool hi nahi sakta. Mahi yaha per bachpan se hi hai. Ye ek khush mijaz ladki hai. Ye her kisi ki help karti hai. Mahi nadiya ke baba ko ek sadak ( road ) ke kinare behosh padi mili thi. Mahi jab nadiya ke baba ko mili thi tab uske paas me ek locket tha jisko nadiya ke baba ne pehle toh dekha phir mahi ke gale me pahna kar mahi ko apne sath le gaye. Jab mahi nadiya ke baba ko mili thi tab sirf 2saal ki thi. Mahi ko jab nadiya ke baba apne ghar ( orphanage ) laye aur usko doctor ko dikhaya thodi der ke baad jab mahi ko hosh aya tab nadiya ke baba ne uske bare me pucha toh usse kuch bhi maloom nahi kar sake. Toh unho ne apne area ke police station me iski khabar ki toh police walon ne mahi ke bare me pata karke bolne tak usko nadiya ke baba ke paas hi rahne ko kaha. Police walon ne mahi ke bare me maloom karne ki koshish bhi ki per kuch bhi pata na chala sake toh uski custody nadiya ke baba ne leli. Tab se mahi yahi per rahti hai. Yaha per mahi ko sabhi log pasand karte hai. Khas ker kahiroon bee ka mahi ke sath bohat lagao hai. Khairoon bee mahi ko apni sagi beti ki tarha pyar karti hai. Bachpan se mahi ko unho ne hi palpos ke bada kiya hai. Mahi ek bohat hi hoshiyar aur talented ladki hai usne isi saal MBA kiya hai. Aur ab naukri ki talash kar rahi hai. Aur pyar se sabhi ise mahi kahke bulate hai.

Waise toh yateem khane me aur bhi ladkiya hai but unka bohat hi kam role hai jab bhi kisika rol important hoga uska ek short intro ho jayega.

Ab agey badte hai.

Mahi jab kitchen me jati hai toh waha per kahiroon bee pahle se hi rahti hai.

Mahi : assalamu alaikum ammi. ( mahi bachpen se hi khairoon bee ko ammi hi kah kar bulati hai. )

Kahiroon bee : wa alaikum assalam uth gaye beti tum.

Mahi : ji ammi abhi hi uthi hoon madam ne aker uthaya hai. Aur bohat gusse me bhi lag rahi thi. Mai toh unko dekh ker daar hi gayi thi.

Khairoon bee : ( haste hue ) hahaha are bete woh toh humesha aisich ( aise hi ) rahti hai. Tum unko dekh ke kaiku ( kyun ) daar gayi. Unka kaam ich( hi ) hai bachon ku darana.

Mahi : haan apne sahi kaha. Khair chodo ye sab chai toh apne banadi hogi. Laiye mujhe dijiye mai madam ko dekar ati hoon. Phir hum dono bhi breakfast karenge.

Dono baat hi kar rahi thi ke baher se nadiya ki awaz ati hai.

Nadiya : are kaha maar gaye sab ke sab abhi tak nashta bana bhi hai ya nahi.

Khairoon bee : lo inka suba suba ( subha subha ) shuru hogaya. ( zor se awaz lagate hue ) abhi layi madam.

Mahi : aap rehne do mai leker jati hoon.

Nadiya ki awaz sun kar mahi jaldi jaldi se ek tray me bread teapot cup aur milk pot aur sugar ek trolly me rakh kar kitchen se baher dinning hall me lejati hai. Jaha miss nahida apne mobile me kuch karrahi thi.

Mahi unke samne jaker sab kuch dinning table per rakh deti hai aur unko ek cup me chai ( tea ) daal ker deti hai.

Miss nadiya humesha akeli hi breakfast lunch aur dinner karti hai.

Mahi ko unho ne ek nazar dekha aur apne mobile ko side me rakh kar breakfast karne lagi.

Mahi unko breakfast de kar wapas kitchen me ati hai.

Khairoon bee bhi mahi ke ane tak do cup me chai aur bread nikal kar rakhti hai. Mahi ke ate hi dono mil kar breakfast karne lagte hai.

Khairoon bee : toh mahi kab hai tera interview tayyari karli na puri.

Mahi : ji haan ammi maine puri tayyari kar li hai bas aap dua karo ke mujhko job mil jaye. Kal jana hai dekhte hai kya hota hai. Bohat jagha try kiya hai sabhi jaghon per mere se kam padhi likhi ladkiyon ko job miljati hai. Woh ladkiya uske liye qualified bhi nahi hoti per un ko job mil jati hai. Kyunki unke paas kisi na kisi ki pahchan hoti hai. Jab ke mai toh un ladkiyon se ziyada qualified hoon per mujhe job nahi milti kyun ke mere paas sirf degree hai. Kisi ki pahchan nahi. Aur waise bhi ek yateem ladki ko kon itni value deta hai.

Kahiroon bee : khaberdar jo kabhi apne aap ko yateem kaha toh. Kya mai teri ammi nahi kya maine tujhe kabhi apni beti nahi mana. Aur rahi baat naukri ki toh allah per bharosa rahkho usne sabhi ke liye accha hi soncha hota hai. Usne tumhare bare me bhi kuch accha hi soncha hoga. Kabhi bhi allah se na ummed mat hona. Bohat jald tumko bhi koi na koi acchi job milhi jaye gi. Bas tum aise baten apne dil se nikal diya karo. Mujhe bohat takleef hoti hai jab tum apne aap ko yateem kahti ho.

( ye sab kahte hue kahiroon bee ke ankhon me ansu ajate hai ).

Mahi jaldi se khairoon bee ke gale jati hai.

Mahi : ( with tears ) sorry ammi mujhe maaf kardo mera aap ka dil dukhane ka koi irada nahi tha. Mai toh bas aap ko bata rahi thi ke aaj kal talent ki khadar nahi bas pahchan batao. Aap toh meri pyari ammi jaan hai mai bhala aapko takleef kaise de sakti hoon. Accha thik hai ammi mai ainda se aisa kabhi bhi nahi kahongi. Ab aap aise roya mat kijiye mujhe bhi accha nahi lagta.

Khairoon bee : accha chal thik hai phir kabhi aisa boli toh tere tanga ( tangey ) todongi samjhi chal ja apne kamre ( room ) me . Mere ku bhi kaam karna hai.

Mahi : thik hai ammi mai bhi apne room ko set kar leti hoon.

Khairoon bee : thik hai ja.

Idhar miss nadiya breakfast karne ke baad baher girls ke quarters me ja kar waha ka jaiza lene lagti hai. Jaha per sabhi ladkiya apne kaam me lagi hui thi.

Sabhi ladkiyon ke liye ek alag quarters tha jaha per ladkiya rahti aur kaam bhi karti. Ziyada ter ladkiya silayi ka kaam karti aur jo padhi likhi ladkiya hai woh bhi kahi na kahi per job karti thi. Yaha ka ek niyam ( rule ) hai jo miss nadiya ne banaya hai khas kar badi ladkiyon ke liye. Jo bhi kaam karega usko uski salary ka 30percnet hissa is yateem khane ko dena hoga aur jo bhi ladki 18saal ke upper ki hai aur yahin quarters me rah rahi hai unko yaha ka kiraya ( rent ) bhi dena hoga.

Sabhi ladkiyon ne breakfast karliya tha aur apne apne kaam per jane ki tayyari kar rahe the. Koi factory me jarahi thi toh koi job per jane ke liye ready thi.

Miss nadiya ek ladki se baat karrahi thi jo yaha ke ladkiyon ki incharge ya kahu yaha ke ladkiyon ki dekh bhal aur unke kaam ko dekhti hai.

Iska naam jabeen hai ye bhi ek yateem ladki hai jo yaha per sabhi ladkiyon ka kaam aur inke khane peene ka intezam dekhti hai. Isko yaha per sabhi ladkiya didi kah ker bulate hai. Ye ek bohat hi acche mijaz ki ladki hai. Sabhi ladkiyon ko ye apni bahen ki tarha hi samhajti hai.

Nadiya : jabeen sabne breakfast karliya.

Jabeen : ji haan madam.

Nidiya : toh kal ka maal ( stork ) jo rasheed sahab ki company se aya tha uska kiya hua.

Jabeen : Rasheed sahab ka maal toh godam me rakha diya hai abhi pahle ka kaam bakhi hai. Uske pura hote hi ye kaam shuru kara dongi.

Nadiya : thik hai kal ka jo bhi kaam bakhi hai aaj pura karado aur jaldi se jaldi naya wala kaam shuru karado.

Jabeen : ji madam jaisa apne kaha hai waisa hi hoga.

Nadiya : thik hai mai zara baher ja rahi hoon. Shayed kuch der hojaye kuch bhi zarurat hoto raheem chaha se kah dena.

Jabeen : ji thik hai madam.

Jabeen se baat karne ke baad miss nadiya waha se baher aker apni car me baith kar chali jati hai.

Raheem chacha ye ek umer daraz shaks hai. Bohat time se yaha per kaam karte hai.

Yaha sabhi inko raheem chacha hi kahte hai. Yaha per sab kuch baher se jo bhi lana ho wahi latey hai. Kaam karne ke liye materials aur khane ke liye saman ye sab kuch raheem chacha hi latey hai. Yaha per aur bhi admi hai kaam karne wale sabhi umer wale hi hai.

Ye orphanage bohat bada hai yaha badon ke liye alag quarters hai aur bachon ke liye alag quarters hai. Ye orphanage pura 5acer per hai. Jaha per total 4 buildings hai jisme se ek building bade ladkiyon ka quarter hai aur ek chote ladkiyon ka quarters hai aur ek quarter me silayi ( stitching factory ) ka kaam hota hai. Aur ek building me miss nadiya khairoon bee aur mahira rahte hai.

3buildings me her ek building 3floor ki hai jisme her floor per 15rooms hai.

Orphanage me ek ground bhi hai jaha per chote bachche khalte hai. Bachchon ko school se ane ke baad yaha per khelne ki permission hai. Yaha per chota sa flowers garden bhi hai.

Jis building me miss nadiya rahti hai woh building 2 floor ki hai jo total luxurious hai. Building ke main entrance se andar jate hi ek bada hall hai. Hall me ek bada sa LED Tv aur sofa set hai. Hall se sidha jate hi right side per sidhi ( upstairs ) hai jo uper ke floor per jati hai. Stairs se sidha jate hi right side per ek bada room hai jo full luxurious aur full hitch hai jisme miss nadiya ke alawa aur kisi ko jane ki permission nahi hai. Lift side me bhi ek bada room hai jisko miss nadiya library aur study room ki tarha use karti hai. Rooms se sidha jate hi right side per kitchen hai aur left side per dinning hall hai. 2nd Floor per 4 room hai ye luxury nahi hai ye normal hi hai yaha per sadhi se uper jate hi corridor se right side per 2 room hai pahla room kahiroon bee ka hai dosra mahi ka room hai. Ye room normal hi hai. Left side per 2 room hai jisme se ek room miss nadiya ka office hai aur ek store room hai.

Idher kahiroon bee ghar ka kaam karne ke baad lunch ki tayyari karne lagti hai.

Aur idher mahi kitchen se ane ke baad apne room me aker pehle apne room ki safai karne lagti hai. Safai ke baad apne almari ( almira ) se apne kapde nikal kal unko fold karti hai. Aur phir apne bed ko sahi karti hai. Bed sahi kake usper baith jati hai aur apne aap se baat karti hai.

Mahi : ( apne aap se ) room ki saaf safai toh hogayi ab kya karon kuch hai bhi nahi karne ko. Ab toh free hi hoon  jab job lag jayegi toh mere paas time hoga ya nahi. Kya ye job mujhe milegi bhi ya nahi. Kash ke ye job mujhe miljaye mai bhi apne pairon per khadi hona chahti hoon ammi ( khairoon bee) ne mere liye bohat kuch kiya hai. Yaha iss ghar me rahne ko bhi mujhe ammi ki hi wajha se mila hai nahi toh mujhe bhi akele un ladkiyon ki tarha rahna padta tha. Mai bhi unke liye kuch karna chahti hoon. Ya allah meri madad karna mujhe job dilwade.

Aise hi apne aap se baat karte hue mahi apne room se baher ati hai aur apne ammi ko bata kar ladkiyon ke silayi ki building ( factory ) me jati hai. Jaha per sabhi ladkiya apne kaam me lagi hui thi. Mahi idher udhar dekhti hai jabeen ko toh woh kisi ladki se baat karrahi hoti hai. Mahi jabeen ke paas jati hai.

Mahi : assalamu alaikum jabeen didi.

Jabeen mahi ki awaz sun kar ladki ko uska kaam bata kar mahi ke taraf ati hai.

Jabeen : wa alaikum assalam mahi kaisi ho.

Mahi : ji mai bilkul thik hoon aap bataiye kaisi hai aur aap ne nashta karliya.

Jabeen : mai bhi acchi hoon aur maine karliya nashta. Aur tumne karliya.

Mahi : ji maine bhi karliya nashta. Ghar me kuch kaam tha nahi toh soncha aap ke paas ajati hoon. Waise aaj aap bohat busy lag rahi ho. Maine aker aap ko disturb toh nahi kiya na.

Jabeen : are nahi mahi mai busy toh hoon magar tumhare ane se mai bhala kyun disturb hongi. Waise bhi toh tum kahli baithti hi kaha ho kuch na kuch meri hi help kardeti ho.

Mahi : ye toh acchi baat hai ke mere aney se aap ko disturbance nahi hota. Aur rahi baat aap ki help karne ki ye toh mera farz hai ke mai apni badi bahen ke kuch kaam asakti hoon.

Jabeen : ( mazak se ) are wah kya baat hai badi acchi baten karne lagi hoon.

Mahi : ( ruthne ka natak karte hue ) kyun didi mai pahle kya buri baten karti thi.

Jabeen : ( haste hue) are nahi bahna pahle bhi tum acchi baten karti thi ab bhi acchi hi baten karti ho mai toh bas mazak kar rahi thi. Aur sunao aaj kal kya kar rahi ho. Job ka kuch hua ya nahi.

Mahi : kaha didi her jaga per her koi apni kisi nai kisi ki pahchan bata kar job leleta hai. Ab mere paas kis ki pahchan hai jo un logon ko bata saku bas jaha per bhi interview hote hai jati hoon koi kahta hai kisi ki pahchan batao. Toh koi hum aapko call karke bata denge kah kar bhej dete hai.

Bas aise hi chal raha hai. Ab kal ek interview hai dekhna hai ke waha kya hota hai.

Jabeen : sabar karo inshallah sab sahi hoga aur iss baar allah kare ki tumko ye job mil jaye.

Mahi : kash ke jaisa aap kah rahi ho waisa hi ho. Khair ye chodiye ye bataiye ke mere liye kuch kaam hai yaha per jisse aap ki kuch madad kar sakoon.

Jabeen : kaam toh kuch khas nahi hai bas kuch bills hai jin ki entry karna hai computer me jo ki mai baad me karlongi.

Mahi : baad me kyun mai yaha free hi toh hoon layiye mai kardeti hoon aap jab tak dusra koi kaam hoto karlo.

Jabeen : are nahi mahi woh koi aisa bada kaam thodi hi hai jo mai baad me nahi kar sakti. Tum bas baitho yaha per aram se.

Mahi : kya didi aap bhi kamal karti ho mai yaha khali kyun baithu jab ki yaha per kuch kaam karhi sakti hoon. Bas mujhe kuch nahi sunna aap mujhe woh bills dijiye mai entry kardeti hoon.

Jabeen : ( haste hue ) thik hai laker deti hoon. Tumse bahes me bhala kon jeet sakta hai.

Mahi :  ( haste hue ) haan toh phir bahes karte hi kyun ho aap jab aap ko pata hai ke aap mujhse jeet hi nahi sakte.

Jabeen mahi ko building ke office me lejaker usko woh bills deker baher chali jati hai aur mahi bhi un bills ko computer me entry karne lagti hai.

Aise hi kaam me lunch time hojata hai. Mahi bhi bills ko computer me entry karne ke baad jabeen se baten karke apne ghar ( miss nadiya ki building ) ko ajati hai.

Ghar aney ke baad mahi apni ammi ( khairoon bee ) ke paas jati hai.

Mahi : ammi lunch ready hogaya.

Khairoon bee : haan beta hogaya hai. Tu ja kar fresh hoja mai tab tak khana lagati hoon. Aur sun haatan ( hands ) accha dho karkhane ( factory silayi ki ) se ayi na haatan ( hands ) gande hogaye hunge isliye bolriyon ( bol rahi hoon ).

Mahi : thik hai ammi.

Mahi apne room me jaker fresh hoti hai. Aur tab tak khairoon bee ne bhi khana laga diya tha.

Mahi fresh hokar apne ammi ke room me jati hai. Jaha khairoon bee ne khana dastarkhan per laga kar rakha tha.

Ye log apna khana humesha yahi per khate hai. Dinning table per nahi. Waha per sirf miss nadiya hi khati hai.

Mahi dastar pe baith jati hai aur khairoon bee ke sath lunch karne lagti hai.

Lunch ke baad mahi apne room me jakar rest karne lagti hai. Kahiroon bee ne bhi lunch ke baad sab kuch neeche lejakar saaf karti hai aur woh bhi apne room me jakar rest karti hai.

Mahi jab sokar uthti hai aur fresh hokar neeche ati toh dekhti hai ke miss nadiya neeche sofe per baith kar kisi se phone per baat kar rahi hai. Mahi apne ammi ko dekhti hai woh kitchen me kuch kaam kar rahi hai. Mahi apne ammi ke paas jati hai.

Mahi : ammi aap kya kar rahi ho.

Khairoon bee : kaam karriyon aur kya dikhra tere ku. ( kaam kar rahi hoon aur kya dikhayi de raha hai tujhe ).

Mahi : are ammi ye toh mujhe bhi dikhayi deraha hai ke aap kaam kar rahi hoon. Mai ye puch rahi hoon ke dinner bana rahi ho ya banana hai.

Khairoon bee : toh aisa bolna. hau khana pakadi mai ( haan khana bana liya hai maine ). Bas miththa ( meetha ) banana hai.

Mahi : thik hai aap bolo kya banane wali ho.

Meethe me mai bana deti hoon.

Khairoon bee : konsa bhi ( koi bhi )  banale.

Mahi : thik hai mom mai kheer bana leti hoon.

Khairoon bee : acchi baat hai ( thik hai ).

Mahi kheer banane lagti hai aur khairoon bee dinning table per khana lagati hai.

Kheer banane ke baad mahi kheer miss nadiya ko dene jati hai.

Mahi : madam ye lijiye kheer.

Nadiya : rakhdo table per. Aur kaha thi tum aaj dikhayi nahi di dopaher ( afternoon ) me.

Miss nadiya ke aise puchne se mahi thoda daar jati hai.

Mahi : ( darte hue ) j...i....ji wo..h mai apne room thi. Factory se ane baad thoda sogayi thi.

Nadiya : ( rudely ) din me sone ki adath kharab adath hai. Aise soyegi toh office me kaam kya karogi tum.

Miss nadiya ke aise bolne se mahi ke ankhon me ansu ajatey hai. Jise woh jaldi se saaf karke kahti hai.

Mahi : ( neeche sir karke ) ji madam agay se khayal rahongi.

Nadiya : hmm thik hai jao aur haan kal tumhara interview hai na.

Mahi : ji haan.

Nadiya : uski tayyari ki ya sara din sote hi rahi.

Mahi : ji madam tayyari karli hai.

Nadiya : hmm accha hai. Iss baar pass zaroor hojana humesha ki tarha fail math hona.

Miss nadiya ke aisa kahne se mahi ko bohat bura laga phir bhi woh kya kah sakti thi. Isi liye bas apni ankhon me ansu liye khamosh hi khadi rahi.

Miss nadiya mahi se baat karte hue apna dinner khatam karti hai. Aur mahi bhi miss nadiya ke is tarha bole jane se dukhi hokar apne room me chali jati hai.

Miss nadiya ke paas jab se mahi kheer lekar gayi thi tab se aur mahi ke apne room me jane tak jo bhi hua woh sab khairoon bee ne dekha tha. Miss nadiya ka mahi ko aisa kahna khairoon bee ko accha nahi laga unke bhi ankhon me ansu agaye they.

Magar woh bhi kuch nahi kar sakti thi isi liye unhone apne aap ko sambhala aur kitchen me jakar apna aur mahi ka khana lekar apne room me rakha aur mahi ke room me gayi.

Mahi apne room me aker apne bed per gir jati hai. Aur rone lagti hai.

Kahiroon bee ne jab mahi ko aisa rote dekha toh unki bhi ankhon me ansu agaye. Khairoon bee mahi ke paas jakar uske ser per hath pher kar kahti hai.

Khairoon bee : ( nam ankhon se ) kya hua beta kyun ro rahi hai tu.

Mahi jab apni ammi ki awaz sunti hai toh apne ansu saaf karkar jaldi se uth jati hai.

Mahi : kuch nahi ammi woh ankh me kuch chala gaya tha isi liye ankh se pani araha hai shayed.

Khairoon bee : tereku maloom na tu mere ku jhoot nai bol sakti toh kaiku bolri. Mai tere ku paida nai kari toh kya hua tere ku bachpan se maich pali so hoon toh mere se jhoot nakko bol samjhi.( tujhe pata hai na tu mujhe jhoot nahi bol sakti toh kyun bolti hai  maine tujhe janam nahi diya toh kya hua tujhe bachpan se pala hai maine toh mere se jhoot mat bol samjhi. ).

Mahi apni ammi ki baat sunke rone lagti hai.

Khairoon bee : mai bi suni nadiya maidam

Ke batan kya bole so uno tu kaiku rori tension nakko le allah sab kuch thik karinga inshallah bas apne rab pe humesha bharosa rakh. ( maine bhi sona nadiya madam ke baton ko kya bola unho ne tu kyun ro rahi hai tension math le allah sab kuch thik kardega inshallah bas apne rab per humesha bharosa rahko. ).

Mahi : (  rote hue ) mai kya apni marzi se fail hoti hoon. Jo pass hoti hai woh ladkiya kya mujhse behtar hai. Mai humesha apna best hi deti hoon. Woh logon ko job deni hi nahi hoti toh dete hi nahi toh iss me mera kya kasoor hai. Woh log sirf apni pehchan walon ko hi job dena chahte hai. Dosre chahe kitne bhi acche ho ya kitne bhi khabil ho. Unko isse koi farq hi nahi padta.

Mahi ke aisa kahne se khairoon bee ko lagta hai ke mahi ke dil o dimag me ek hi baat baith gayi hai. Toh pahle us baat ko uske dimag se nikal na hoga nahi toh ye humesha yahi sonchti rahegi ke baghair kisi ki pahchan ke naukri ( job ) nahi milegi.

Yahi sab sonch kar khairoon bee mahi se kahti hai.

Khairoon bee : ( serious hokar ) mahi ek baat kahu bura math manna.

Mahi apne ammi ko serious dekh kar apne ansu saaf karke kahti hai.

Mahi : kahiye ammi aap kya kahna cahti hai. Mai bhala aap ki kisi bhi baat ka bura kyun manugi. Ek aap hi toh ho jo mere sabse khareeb ho. Aap ke siwa mera hai hi kon. Bachpan se lekar aaj tak aapki hi toh baton ko sunti ayi hoon. Aap bejhijak kahiye aap ko jo bhi kahna hai.

Khairoon bee : dekho mahi beta mujhe pata hai ke tum bohat hoshyar ho aur bohat hi acchi ladki bhi ho. Mujhe kahna toh nahi chahiye magar mai kah rahi hoon isliye ke tumko samjha sakon. Tum jo ye baar baar ek hi baat kahti ja rahi ho ke har jagha par pahchan hi pucha ja raha hai bina pahchan ke koi bhi kaam nahi deta ye baat tum apne dimag se nikal do.

Mahi : kyun ammi maine kya ghalat kaha hai jo horaha hai wahi bol rahi hoon.

Khairoon bee : beta meri baat abhi khatam nahi hui hai. Pehle meri puri baat sunlo phir tumhi faisla karna ke mai ghalat kah rahi hoon ya nahi itni toh tum samhajdar ho higayi ho.

Mahi : are ammi aap aisa kyun kah rahi ho. ok mai sunrahi hoon aap kahiye.

Khairoon bee : toh pehle ye baat apne dimag se nikal do ke job tumhe kisi ki pahchan se hi milsakti hai. Kyun ki her koi pahchan per hi job nahi deta kuch log talent walon ki khadar bhi karte hai. Aur rahi baat pahchan ki toh pahchan ka istemal woh log karte hai jinko apni khud ki koi pahchan banani nahi hoti. Woh zindagi bhar bas dusron ki hi pahchan per hi zindagi guzar dete hai. Kya tum bhi aisa hi chahti ho ke log tumko tumhari pahchan ki jagha kisi aur ki pahchan se jane.

Mahi : nahi mai aisa nahi chahti ke log mujhe kisi aur ki pahchan se jane. Mujhe apni ek alag pahchan banani hai.

Khairoon bee : toh iske liye tumhe bohat mahnat karni hogi.

Mahi : mai karungi ammi mai mahmat se nahi darti.

Khairoon bee : kaise karogi tum mahnat. Jab ke log toh apne kisi na kisi ki pahchan bata kar job hasil kar lete hai. Tumko toh koi job dega hi nahi kyun ki tumhare paas kisi ki pahchan hi nahi hai.

Mahi : kisi ki pahchan nahi hai toh kya hua.  Mere paas mera honsla hai aur har koi ek jaisa tohdi hi hota hai. Koi toh hoga jiske paas talent ki khadar hogi. Bas mai ab  kabhi bhi ye nahi sonchugi ke kiske paas kis ki pehchan hai. Mujhe bas apne aap per bharosa rakhna hai. Aur mere allah per bharosa rahna hai.

Khairoon bee : bohat acchi baat kahi tumne mai bhi tumko yahi sab samjhana chahti thi. Bas tumko apne aur apne allah per bharosa karne chahiye kamiyabi khud ba khud tumahre khadam chumegi.

Mahi apni ammi ki baat se bohat hi accha feel karrahi thi. Apne ammi ki baat sun kar woh unke gale lag jati hai.

Mahi : shukriya ammi jaan apne mujhe aaj bohat hi acchi tarha se samjhaya hai. Mai humesha yaad rakhugi aap ki ye baat.

Khairoon bee : maar khaigi tu mere hath se. Ammi ko shukriya kahti hai.

Mahi : are sach me ammi mujhe bohat accha laga apne jo bhi kaha.

Khairoon bee : chal tujhe samhaj aya mere liye yahi bohat hai. Ab uth muh hath dholey mai jab tak khana garam karke lati hoon abtak toh thanda bhi hogaya hoga.

Mahi : ok ammi aap chalo mai abhi ati hoon fresh hokar.

Khairoon bee mahi ke room se apne room me jakar khana lekar kitchen me jati hai aur garam karne lagti hai.

Mahi bhi apne ammi ke jane ke baad washroom me jakar fresh hoti hai aur apne ammi ke paas jati hai aur khana nikal ne me apni ammi ki madad karti hai. Dono khana leker room me ate hai aur dastar dal kar khana katey hai. Khane ke baad mahi plates wagaira lejaker kitchen me rakhti hai aur unko dhokar saaf karke jama deti hai.

Plates saaf karne ke baad mahi apne ammi ke room me jakar unko good night kahke apne room me aker door lock karti hai. Aur washroom me jakar wazu banakar ati hai aker jahenamaz bicha kar insha ki namaz padti hai. Namaz padne ke baad mahi dua karti hai.

Mahi : ( Dua ke liye hath utha kar )  ya allah mere malik tujhe toh har baat ka ilm hai tujhse kuch bhi chupa hua nahi hai. Beshak tu dilon ke raaz bhi jaanta hai. Ya allah kal  mera interview hai usme mujhe kamiyabi ata farma. Aur mujhe itni takhat ata farma ke mai acchi mahnat karsaku aur apne ammi ka naam roshan kar saku. Mujhe itni takhat ata farma ke mai tere bandon ki madad kar saku. Ameen summa ameen.

                  

Namaz padne ke baad mahi apne room ki light off karke apne bed per aker sojati hai.

Kal subha ke intezar me. Ke kal woh apna interview desake aur usme pass hosake.

Dekhte hai ke mahi ki agli subha kya rang lati hai uski zindagi me.

Dekhte hai ke mahi ko job milti hai ya nahi uski zindagi badalti hai ya nahi. Uske sapne sach hote hai ya nahi.

Dekhte hai kal ka din mahi ki zindagi ko kis mod per lejata hai.

Janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA ISHQ se. Aapka apna maq.

Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.


Load failed, please RETRY

次の章はもうすぐ掲載する レビューを書く

週次パワーステータス

Rank -- 推薦 ランキング
Stone -- 推薦 チケット

バッチアンロック

目次

表示オプション

バックグラウンド

フォント

大きさ

章のコメント

レビューを書く 読み取りステータス: C2
投稿に失敗します。もう一度やり直してください
  • テキストの品質
  • アップデートの安定性
  • ストーリー展開
  • キャラクターデザイン
  • 世界の背景

合計スコア 0.0

レビューが正常に投稿されました! レビューをもっと読む
パワーストーンで投票する
Rank NO.-- パワーランキング
Stone -- 推薦チケット
不適切なコンテンツを報告する
error ヒント

不正使用を報告

段落のコメント

ログイン