アプリをダウンロード
33.33% I can't Forget you, My Love / Chapter 12: Chapter 11

章 12: Chapter 11

Ruhan Hatasa hoker, apne Room me ata hai, aur Bed pe beth jata hai, gheri saans leta hai, aaj ke bare me sochta hai,sochte sochte 11sal piche chala jata hai, jab wo apne room me betha uss bracelet ko apne hatho me le kar dekh raha hai.

Past time*

11Year ago,

Ruhan Ek box apne bed ke pas rakhi table pe dekh kr khush hote huye hath me leta hai,

"Are wah... ye jaldi aa gaya"

Ruhan excited hoker Uss box ko open karta hai, usme ek beautiful bracelet niklta hai.

"Dame sure , ye use zarur pasand aayga" Ruhan bracelet ko dekh kr smile karte huye kehta hai.

tabhi Grandpa uske room se guzar rahe hote hai aur wo uss bracelet ko Ruhan ke hath me dekh lete hai.

"Yeh ek ladies bracelet hai, Germany brand ne ise abhi hi Launch kiya hai, Ruhan ke pas ye kiya kar raha hai? " Grandpa man me sochte huye wahan se chale jate hai.

Grandpa apne study room me aakar, apne ek Mannager ko bulate hai.

"Hum kal wapis aboard chale jayege... Hume Ruhan ki pal pal ki khabar chahiye, ... Ruhan ne ek German brand bracelet liya hai, Pata karna wo kise dene wala hai, aur uski sari report hume karte rhena"

In School,

Vani school aati hai, Uski desk pe Kuch colourful chits lagi hai, Vani unhe pdhti hai,

*one chit pe likha hai"suna hai aj tumhara birthday hai,... Wish karo ke tum ya to ameer ban jao, ya iss school se nikal jao"

*second chit" God ne galti se tumhe Paida kiya hai... Badsurat ladki"

* Third chit " Ho sake to please Humari class se humse dur chali jao... Tum jesi garib ladki ke sath bethna humare liye bahut sharamnak hai, Bad day for us..."

*fourth chit" Tumne Ruhan ko apne jaal me phasaya hua hai, aj tumhara birthday hai na.... birthday ki khushi me Tum Ruhaan ko azaad kyun nhi kar deti ho?"

Vani Chits ko padhte huye udas ho jati hai, Sab ne use wish ki jagha Uske liye chits me bura bhala hi likha tha. Vani un chits ko apni desk se remove karti hai aur dustbin me dal deti hai. aur wapis aakar apni desk pe beth jati hai, aur apna muh window ki aur karke bahar dekhne lagti hai. Class me sab usko dekh kar aapas me bat kar rahe hai has rahe hai.

Suddenly Ruhan Classroom me ata hai, apni desk pe bag rakh kr sidha Vani ke pas jata hai, aur Uss bracelet ke box ko Vani ki desk pe rakhta hai.

"Happy Birthday Vani...." Ruhan khushi se Wish karta hai.

Ruhan ko dekh kar Vani ke face pr smile aa jati hai, puri class unhe dekh kr Jealous kar rahi hai.

Ruhan Box open karta hai aur Vani ko wo bracelet apne hath se pehnata hai.

"Ye tunhara Gift...Tumhe pasand aaya?" Ruhan bracelet pehna kar puchta hai.

"Han... bahut pyara hai.... sukhriya....par ye mujhe mehnga lag raha hai...main ise nahi le sakti..." Vani bracelet utarte huye.

"Hey...agar yesa kiya to main tumse naraz ho jaunga... ye kabhi utarna nahi chaiye... Got it"Ruhan Finger Vani ki taraf point karte huye.

Vani smile karti hui Ruhan ko dekhti hai.

Present time*

Ruhan apni yaado se bahar aata hai, apne hatho se apne face ko chupa kar kuch der yese hi rheta hai, aur ye rat kuch iss tarah guzar jati hai.

Next Morning,

Ruhan Grandpa ke sath Company gaya hai, Grandpa ek office me le kar jate hai.

"Ruhan...ye raha tumhara Office... dekho... humne tumhari pasand ka khayal rakhte huye... iss office ko design karwaya hai." Grandpa Office ko dikhate huye.

"Thank you Grandpa I am glad to see.... ye wakai shandar hai..." Ruhan Office ko dekh kr kehta hai.

"hmmm... bs ab kuch dino me tumhari shadi ho jaygi... phir ye company tumhe hi sambhalni hai." Grandpa khushi se.

"kuch dino bad...?, Kab .....?" Ruhan Grandpa se puchta hai.

"Iss month ke last week tak...." Grandpa

"Kiya...?, Ye kuch jayda jaldi nahi hai?, Grandpa..." Ruhan Thoda gusse se.

"Han... hai to....lekin humpe Vani ka bahut badha ehsan hai....Jise hum apne ghar jaldi laa kar...apne ghar ki Bahu bana kr utarna chahate hai." Grandpa

"Yesa konsa ehsan kar diya Vani ne aap pe jo aap iss tarha se utarege....Grandpa...?" Ruhan gusse se.

"Kiya tumhe yaad nahi?, Vani ne Bina kisi wajha ke Humari jaan ke khatir... hospital me apne jitne bhi paise the uske pas uski hospital fees bhar di thi...." Grandpa Ruhan se.

"Ah... to ap use uske paise wapis kar dijiye... Iss tarha se meri shadi jaldi kyun kar rahe hai..." Ruhan gheri saans le kr gusse se.

"Har ehsan paiso se nhi utare jaa sakte hai...Ruhan.... humne soch liya hai... Vani hi Iss ghar ki bahu banegi... or iss month ke last week hi tumhari shadi hogi... yahi humara hukum hai... that's it" Grandpa gusse se office se chale jate hai.

Ruhan Office room me apni chair pe beth kr gheri saans leta hai aur gusse se idhr udhar dekhne lagta hai, aur ser pe hath pherta hai.

"Main kiya karu....?, Grandpa ko kese batau.... ki... Vani ne kiya kara tha mere sath.... Jis wajha se me Vani se nafrat karta hun" Ruhan man me sochta hai.

Ruhan ke office me Ruhan hi ki age ke aas pas ek adami ata hai, aur khud ko interoduce karta hai.

"Hello Sir, I am your personal assistant, And My name is..... Jaan" apna chasma naak pe chadate huye Jaan Ruhan ke samne khada hoker kehta hai.

Ruhan uth kar usse hath milata hai, "Nice to meet you....Jaan"

"thank you sir..." Jaan smile kr ke.

"Ah...ab tum mere assistant ho to kiya tum mere sath loyal ho?" Ruhan Jaan se puchta hai.

"Yes sir...main apse puri tarah se loyal hun.... ho sake to aap azma bhi sakte hai...." Jaan chasma sambhalte huye kehta hai.

"Thik hai... Main tumhe kuch work deta hun... " Ruhana apni Table pe kuch search karta hai aur ek paper nikalta hai.

"Ye lo.... Iss papers ke according ek contract ready karo....ye contract Evening tak mujhe... chaiye.... iss Contract ke bare me Grandpa ko khabar nhi honi chaiye... understand...?" Ruhan Jaan ko papers dete huye.

"Yes sir...." Jaan keh kr office room se chala jata hai.


Load failed, please RETRY

週次パワーステータス

Rank -- 推薦 ランキング
Stone -- 推薦 チケット

バッチアンロック

目次

表示オプション

バックグラウンド

フォント

大きさ

章のコメント

レビューを書く 読み取りステータス: C12
投稿に失敗します。もう一度やり直してください
  • テキストの品質
  • アップデートの安定性
  • ストーリー展開
  • キャラクターデザイン
  • 世界の背景

合計スコア 0.0

レビューが正常に投稿されました! レビューをもっと読む
パワーストーンで投票する
Rank NO.-- パワーランキング
Stone -- 推薦チケット
不適切なコンテンツを報告する
error ヒント

不正使用を報告

段落のコメント

ログイン