アプリをダウンロード
57.89% The black moon / Chapter 11: chapter: 9 compelling

章 11: chapter: 9 compelling

Aur doosri or Abhi jheel par khade hokar Nayra ka wait kar rha tha.. usse kafi time ho gya tha...

Boht der intezaar karne ke baad vo uske ghar chla jata hai... pehle vo seedha room mein hi dekhta hai par usse Nayra wahan Nayra nhi milti fir vo ghar ke main door se andar aata hai...

Tabhi wahan par Nayra ke Maa aur papa khade the...

Maa; (apne expression theek karte huye) arre beta tum!!

Abhi: g aunty !! Vo main Nayra ko lene aaya tha..

Hamara aaj ghoomne ka plan tha...

Kahan hai vo??

Maa: (tension mein) arre!! Beta vo toh kab ki chali gyi...

Abhi: Kahan??

Maa; pta nhi beta.. vo kabhi batati hi nhi... kahan jaa rhi hai...

Abhi ko kuch theek nhi lagta.. kyon ke jitna k vo Nayra ko jaanta tha.. vo aisi nhi thi.. bina bataye !! Toh vo nhi jaa sakti ...

Abhi: aunty koi idea hai??

Maa: nhi beta..

Abhi ek baar poore ghar ko dekhta hai...

Fir wahan se chalaa jata hai..

Vo Nayra ke bare mein boht sochta hai ke vo kahan gyi hogi??

College, library, aur ghar par dekhne ke baad vo faisla karta hai.. kyu na. Main akele hi search kar loon.. jb Nayra aayegi toh usse bhi khushi hogi. .

Yhi soch kar vo akela hi uss jungle ke vampires se pta karne ke liye nikal padta hai..

Shyra bhi boht preshaan thi.. kyon ke ab usse iss andhere kamre mein band jo kar diya tha...

Usse apni Maa par boht gussa aa rha tha...

Jo Shyra ne kaha tha usse vo kahin se bhi galat nhi lag rha tha.. kyon ke usne 6 saal pehle yeh baat Nayra ko btaa di thi... iss liye Nayra in sab se door hi rehne lag gyi thi.. par uss waqt Nayra ne acha response nhi diya tha...

Jaisa iss baar diya tha..

Shyra ko bhi nhi pta tha ke uski Maa Nayra ko lekar itni obsessive hogi.. ke vo jaane hi nhi degi...

Aur ooper se usse ghar ke taikhaane mein band kar diya tha...

Par Shyra ek taraf toh khush thi kyonke ab Nayra, Abeer ke kareeb nhi jaa payegi...

Kahin na kahin uski Maa ke bahane hi shi par Shyra ka badla poora ho rha tha.. jo usne aaj takk Nayra ki wajah se jhela tha..

Pehle uski importance, fir uska pehla pyar devin... ab Abeer...

Shyra ka boht mann tha ke jaise hi vo iss kamre se bahar niklegi toh Abeer ko milne jayegi...

Par vo dukhi thi.. kyon ke usse bhi nhi pta tha.. ke uski Maa iss kamre se usse kab nikaalegi..

Kyon ke yeh pehli baar nhi ho rha tha.. Shyra ko pehle bhi sazaa ke taur par iss kamre mein band kar diya jata tha... aur pta nhi kitne hi din vo wahan par rehti thi...

Ghar mein unki Maa "Evaa" boht tension mein thi.. vo agli planning bna rhi thi... ke kaise Nayra ko band rakha jaye ya uss par compelling kaise ki jaye???

Toh Evaa ek plan banati hai...

Shaam ko vo ek khoon ki bottle mein vervain daal kar Nayra ke paas jaati hai aur.. darwaze ke hole se uski or fenk deti hai.. aur peene ko bolti hai..

Nayra ko boht gussa aa rha tha.. par usmein bilkul bhi taqt nhi thi...

Evaa: agar mujhse ladna chahti ho toh pehle yeh khoon pee lo... fir hi tumme energy aayegi... aur badla le lena..

Nayra kuch nhi bolti...

Evaa wahan se chali jati hai... aur Nayra haalat boht kharaab thi.. 24 ghante se usne kuch nhi piya tha.. aur ooper se uski body mein vervain boht jada maatra mein tha...

Usse vo sehan nhi ho rha tha. Aur usse takleef ho rhi thi...

Kafi samay baad vo bottle ko uthati hai... usse peene hi lagti hai par fir vo rukk jati hai. Aur usse door fenk deti hai..

USS kamre mein boht dhoop aati thi.. aur Nayra ki angoothi mein uski power ring bhi nhi thi... jis wajah se aaj poora din usne survive hi kiya tha... iss taraf se uss taraf..

Kyon ke dhoop se uski skin jal rhi thi..

Usse yeh sab boht ajeeb lag rha tha.. kyon ke usne kabhi umeed nhi ki thi.. ke uski Maa aisa karegi..

Vo usse aise band karke rakhegi!!!

Usse toh reason bhi nhi pta tha.. ke sab uske sath kyu ho rha tha.. vo bas wahan se bahar niklna chahti thi...

Aise hi raat ho jaati hai.. Nayra ke dimaag mein ek idea aaya vo himmat karke.. Abhi ko apni power se mann ke zariye.. Bulane ki koshish karti hai.. par kuch bhi nhi hota...

Vo sochti hai.. ke shyed Abhi takk uski awaaz pauhnch hi nhi rhi..

Toh vo kaafi samay takk try karti hai..

Fir uski power down ho jaati hai aur vo Wahin par gir jati hai...

Raat ke 12 bajj jaate hain.. tb Evaa wahan par aati hai.. aur vo darwaza khol kar uske paas jaati hai... tb vo zabardasti Nayra ki aankhein kholti hai.. aur usse compelled kar deti hai... jab usse yakeen ho jata hai ke Nayra par iska asar ho gya hai toh.. vo usse wahan se nikaal kar kamre mein letaa deti hai...

Agla din shuru ho jata hai...

Nayra jab subah uth ti hai toh usse boht weak feel ho rha tha..

Tabhi uski Maa wahan aakar usse khoon ki bottle de deti hai... aur Nayra vaisi hi 3 bottles pee jati hai... tab jaakar usse acha mehsoos hota hai..

Nayra: mujhe aise mehsoos ho rha hai jaise meri body mein vervain ho!!

Maa: han kal tum behosh ho gyi thi beta!! Shyed tum par kisi ne hamla kiya ho... aur vervain de diya ho...

Nayra: hamla???

Maa: han! Beta.. vo kal tum jab jungle mein gyi toh hamein wahan behoshi ki haalat mein mili thi...

Bas hum tumhe ghar le aaye.

Nayra: fir mujhe kuch yaad kyu nhi..

Evaa ko khud par boht gussa aata hai..ke usne compell toh kar diya par dhang ka reason bhi nhi diya..

Maa: shyed tumhare sar par chot lagi hogi...

Ya kisi ne tumhe compell kar diya hoga

Nayra: aisa kaise ho sakta hai!!!

Maa: mujhe nhi pta beta...

Nayra : aap log Jungle mein kyu gye?? Pehle toh kabhi nhi gye... mujhe dhoondhne?

Ab Evaa ko aur bhi zada gussa aa rha tha.. kyon ke Nayra boht swaal kar rhi thi.. jiska uske paas koi jwaab nhi tha...

Maa: chup kro!! Aur araam karo.. baad mein swaal-jwaab kar lena... tumahari haalat abhi theek nhi hai...

Aur wahan se chali jaati hain..

Par Nayra abhi bhi confuse thi..

Udhar Evaa jaakar Shyra ko bhi khol deti hai...

Evaa: ab agar tumne Nayra se kuch kaha toh tumhe maut milegi...

Maine boht mushkil se usse compell kiya hai..

Mera khel barbaad mat karna..

Shyra thoda darr jaati hai.. aur kuch nhi bolti...

Par mann mein vo soch rhi thi.. ke Nayra kabhi usse toh compell huyi nhi.. toh Maa ne kaise kiya?

Par vo sochti hai ke shyed vo 200 saal ki hain.. iss liye Nayra se jada power ho!!!

Aur ab Shyra ko thoda halka aur acha mehsoos hota hai.. kyon ke poore 24 ghnaton ke baad vo bahar nikli thi..

Aur ab vo ghar ke andar jaakar.. khoon peekar... tyar hokar... college ke liye chali jaati hai..

Aaj agar Abeer college aayega toh vo usse 4 din ke baad dekhegi...

Shyra ko Abeer par bhi gussa tha.. par vo usse compell karne ka soch leti hai..

Jab vo college jaati hai..

Toh aaj bhi Abeer college nhi aaya tha..

Aaj toh hadd ho gyi... 5 din ho gye.. vo college kyu nhi aa rha??? Aisa Shyra sochti hai...

Aur jaise hi unka doosra lecture shuru hota hai.. tabhi Abeer aa jata hai...

Shyra ko usse dekh kar boht khushi aur sakoon milta hai...

Aakhir vo usse 5 din baad dekh rhi thi...

Poori class hairaan thi... Abeer ne kabhi aisa nhi kiya tha.. aur uske professor bhi hairaan the...

Abeer chup-chaap apni seat par baith jata hai.. aur Shyra hamesha ki trah poore lecture usse dekhti rehti hai..

Aur 1 ghante ke baad lecture khatam ho jata hai..

Aur sab log class se jaane lagti hain..

Abeer bhi wahan se chala jata hai


Load failed, please RETRY

週次パワーステータス

Rank -- 推薦 ランキング
Stone -- 推薦 チケット

バッチアンロック

目次

表示オプション

バックグラウンド

フォント

大きさ

章のコメント

レビューを書く 読み取りステータス: C11
投稿に失敗します。もう一度やり直してください
  • テキストの品質
  • アップデートの安定性
  • ストーリー展開
  • キャラクターデザイン
  • 世界の背景

合計スコア 0.0

レビューが正常に投稿されました! レビューをもっと読む
パワーストーンで投票する
Rank NO.-- パワーランキング
Stone -- 推薦チケット
不適切なコンテンツを報告する
error ヒント

不正使用を報告

段落のコメント

ログイン