ab age......
Par jis baat ne mujhe sabse jayada daraya tha , wo tha doctor ki kahee agli baat , jis baat ne mujhe bolne par majboor kar diya tha ..
DOCTOR – sir apke ladke par hume majbooran na chahte hue bhi "MERCIFUL KILLING " ka istemall karna hi padega .
" Mere dad aur mom dono padhe likhe the , to isliye shayad unko iss shabd ka matlab malooom tha , aur kiyunki maine bahut sari tv series aur movies dekh rakhi thi aur saath hi saath main novel padhne ka kaafi shuqeen tha isliye mujhe bhi is word ka matlab malooom tha , isliye to main dara tha" .
Lekin shayad app logon mein se kai logon ko iss shabd ka matlab naheen pata hoga, is liye main apko bata deta hoon ...
" Jab doctor har tarah se haar maan jata hai , ya ab patient ke bachne ki koi ummeed naheen hoti , ya patient bahut hi takleef mein ho jaese ki final stage ke cancer patients, uspar koi dawa naheen asar karti , ya coma mein ho par ab uska coma se bahar aana impossible (yani na-mumkin ) ho . Tab Doctor legal(kanuni) taur par patient ki family se rai-mashwara karke , mareez ki zindagi jo ki badi dard bhari hai use khatm kar sakta hai . Tabhi ise "DAYALU HATYA " (yani merciful killing ) kaha jata hai ."
Ye sunte hi maine kuch bolne ki koshish ki par mujhse bola to gaya par badi dheemi aawwaz mein . Awaaz itni dheemi thi ki mujhe bhi theek se nahi sunai di to nurse to door ki baat hai . Maine apne haath ko hilane ki bhi koshish ki par wo thoda sa hi hila , aesa laga mano mera pura jism sunnn padd chuka tha , shayad bahut din coma mein rahne ki wajah se aesa hua ho " maine apne dimaag mein ye baat kahee ".
............... to be cont ............