Unduh Aplikasi
98.07% SAFAR PYAAR KA / Chapter 153: Grandpa V/S Grandson

Bab 153: Grandpa V/S Grandson

Dada ji aur Vihaan ek dusre ke aamne saamne bethe hai, Dada ji Coffee sarve kar ke Vihaan ko cup dete hai.

"Dekho Vihaan... Bahar Mousam aur thanda ho chuka hai, Lagta hai Thand badhane wali hai." Dada ji

"Jiii aapne sahi kaha.... Mujhe bataiye.... apne mujhe kyun bulaya... hai?, Jaha tak Main apko janta hun....aap mujhe iss time tabhi yaad karte hai, Jab koi khas bat hoti hai, Main Thik keh raha hun na...Dada Ji....? " Vihaan Dada ji ki Ankho me dekhte huye.

"Ahn..... Hahahaha" Dada ji Sun kr hairan hote hai phir zor se haste hai.

"Haan thik kaha tumne.....Hum bhul hi gaye the, Humara Grandson bahut Intelligent hai...."Dada ji haste huye. chair pe piche hoker bethte hai.

"Hmm... Toh btaiye... " Vihaan

"Ah.... hmm... Bat yeh hai.... " Dada ji Kuch papers ki files Uss table pe rakh dete hai,

"Laksh Yeh sari companies akele nahi sambhal sakta hai, Isly Humne yeh kuch companies tumhare naam kar di hai, Isko ab tumhe dekhna hai"

Vihaan unn files ko dekh kr muh pher ke gheri saans leta hai.Aur uth kar jaane lagta hai.

"Vihaan.... Betho.... isi waqt.... " Dada ji Vihaan ko tez awaz me bolte hai.

Vihaan Dada ji ki awaz sun kr beth jata hai. aur dusri or dekhne lagta hai.

"Humare andar ab itni jaan nahi rahi hai, Ab humare paas jitna bhi waqt bacha hai, Hum Sukun se family friends ke sath katna chhaate hai... ab Hum inn companies ko nahi sambhal sakte.... isly ab tumhe hi inn sabki Zimmedari leni hogi. "Dada jii

"Dada jiii.... Main iss topic pr aapse phele bhi baat kar chuka hun... phir bar bar kyun....? "Vihaan kuch pal khamosh hoker.

"Dada jii... Laksh inn sb companies ka asali waris hai, Kyun ki....yeh sab companies Dad ne khadi ki thi.... Dad ki nazaro me....Main unka beta kabhi nahi tha.... Mujhe sirf aapki wajha se pechan mili hai Dada ji..... warna Main kuch nahi hun.... Main.... Main yeh kese... Apne hath me... le sakta hun... Main Kabhi iske liye raazi nahi hounga.... " Vihaan Hichkichaty huye bolta hai, Vihaan ki bolte huye Aankhe nam ho gai hai.

"Vihaan..... Beta.... Tum bar bar apne uss bure past ke bare me kyun soch rahe ho..... Hum mante hai....Tumhare saath bura hua hai..... Lekin Acha bhi toh hua hai na.... Tumhe Laksh aur Ashi jese bhai bahan mile aur sagi maa jitna pyar karne wali ek Maa mili... Humare Bete ki galtion ki wajha se.....yesa kyun kar rahe ho?" Dada ji, Uth kr Vihaan ke pas aate hai, Aur Vihaan ke shoulder pe hath rakh ke.

"Vihaan.... Mere bacche... Apko joh mila hai.... Uska Sukhar karo... Ise Accpet kar ke..... Apne Dad ko Maaf kar do....Socho unhone....Apko... Bahut khubsoorat Ashi aur Laksh ke roop me tofaa diya hai. unke baare me socho Vihaan....Apni Mom ke baare me socho...joh upar se tumhe dekh rahi hai,....Apni uss Mom ke liye socho joh tumhare samne humesha rheti hai, .....Ashi Aur Laksh ke baare me socho... Unke liye unke Dad ache the... Phir bhi woh tumhare kitne kareeb hai.....Beta Sabko Acha lagega....Agar tum apne Dad ko maaf kar doge...." Dada jii

"Dada jii.... Mujhe apse yeh umeed nahi thi....Aap bhi Mujhe samjhna nahi chahate.... "Vihaan Dada ji ki aur nazre utha kr mayushi se dekhta hai. phir aage badh kr unn papers ki files ko utha leta hai.

"Aap sahi hai....Dada jiii... Dad ne Mujhe Khoobsoorat tofa diya hai,....Ashi Laksh Aur Mom..... Thank You.... Dad....Main apko maaf karta hun.... " Vihaan Uth kar Dada jii ko hug kr leta hai.

"Ahm.... That's My Boy.... " Dada jii Hug kiye Vihaan ki back ko thap-thapate hai.

Studyroom ka door thoda sa open hai, Laksh wahan se sab dekh kr mushkurah raha hai, Dada ji Laksh ko dekh lete hai. Laksh ko dekh kr Dada ji Laksh ko Thumbs Up karke Ankh marte hai. Laksh Khush hoker apne Room ki aur chala jata hai.

"Ab bahut raat ho gai hai beta.... Jao.... jaa kar soh jao... " Dada ji Vihaan se.

"Ok Dada jii..... Good Night... Aap bhi soh jaye... "Vihaan keh kr apne room me aa jata hai.

Kanak abhi bhi Jaag rahi hai. Vihaan ko dekh kr jaldi se uth kr khadi ho jati hai.

"Vihaan ji...? "Kanak Itna hi kheti hai Vihaan aakar apna ser Kanak ke shoulder pe rakh deta hai, Kanak khamosh ho jati hai, Kanak ki nazar Vihaan ke hath pe jaati hai, Vihaan ke hath me Kuch files and involves hai.

"Kanak..... Maine.... Apne.... Dad ko... Maaf kar diya hai... Kiya... Maine sahi kiya? "Vihaan Dhire se ser rakhe huye bolta hai.

Kanak smile kar ke Vihaan ko Hug kar leti hai,

"Jii... apne bahut acha kaam kiya"Kanak

"Hmm... tum bhi iss bat se khush ho? "Vihaan Kanak ka face dekh kr bolta hai.

"Jiii.... " Kanak Smile kar ke

Vihaan bed ke pas jaata hai jis side Kaavi soh rahi hai, Kaavi ki side Vihaan bed pe beth kar use dekhte huye.

"Kanak... Maine Dad ko Maaf kar diya.... Kyun ki... Main bhi ab ek father hun... Main kabhi nahi chahunga....Meri Beti.... Mujhse nafrat kare... "Vihaan

"Jii.... Apne sahi kaha... Aur aap Kaavi ke best Dad hai... " Kanak Vihaan ko Himmat deti hai.

"Thank you Kanak... Mujhe Dad bnane ke liye.... " Vihaan smile karta hai.

Study room me Dada ji bethe huye, Window ke bahar dekh rahe hai. Mom Study Room me aati hai,

"Are... Bahu... aao... Garam coffee pee lo.... " Dada ji Mom ko dekh kr.

Mom Andar Aati hai, Aur Chair pe beth jati hai, Pas rakhi Coffee teapot se sarve karke hath me cup le kr peene lagi hai.

"Hume Maousam Aur thanda mahsoos hone laga hai."Dada jii.

"Ji Apne sahi kaha... Kiya apne Vihaan ko Mana liya hai? "Mom

"Hmm.... Han.... phele woh apni baat pe raha... ziddi toh bahut hai... Lekin Hum bhi uske Dada jii hai..... Humne use mana hi liya.... Aur aaj usne.... Humare bete ko Dil se Maaf bhi kar diya... "Dada jii smile kar ke.

Mom Sunte hi Coffee Pite huye ruk jati hai, Dada jii ki aur mayusi se dekhti hai.

"Kya.... Aap sach keh rahe hai...? " Mom Mayusi se Dada jii se bolti hai.

"Haan Bahu.... "Dada jii

Mom ki ankhe naam ho jati hai, ankhe ashuo se bhar jati hai, Mom apne Dil pe hath rakhti hai, Jese unke dil se koi Bhari bojh halka hua ho. Mom Window ke bahar dekhti hai, Bahar Halki halki Snowfall Ho rahi hai.

"Lo aur Thand Aa gai.... Bahar snowfall ho rahi hai.... " Dada jii


Load failed, please RETRY

Status Power Mingguan

Rank -- Peringkat Power
Stone -- Power stone

Membuka kunci kumpulan bab

Indeks

Opsi Tampilan

Latar Belakang

Font

Ukuran

Komentar pada bab

Tulis ulasan Status Membaca: C153
Gagal mengirim. Silakan coba lagi
  • Kualitas penulisan
  • Stabilitas Pembaruan
  • Pengembangan Cerita
  • Desain Karakter
  • Latar Belakang Dunia

Skor total 0.0

Ulasan berhasil diposting! Baca ulasan lebih lanjut
Pilih Power Stone
Rank NO.-- Peringkat Power
Stone -- Batu Daya
Laporkan konten yang tidak pantas
Tip kesalahan

Laporkan penyalahgunaan

Komentar paragraf

Masuk